yahi peshani ki jis par koi silwaT bhi nahin
yahī peshānī ki jis par koī silvaT bhī nahīñ
yahī raftār ki jis meñ koī aahaT bhī nahīñ
haañ yahī haat jo ab tak mire hātoñ meñ nahīñ
yahī añgusht ki hairat se jo dāñtoñ meñ nahīñ
yahī be-dāġh sā chehra hai jo taḳhayyul meñ thā
jaise ik saada varaq bhī koī injīl meñ thā
yahī malbūs jo is tan pe kahāñ Thahrā hai
ā.īne par bhī kahīñ āb-e-ravāñ Thahrā hai
sochtā huuñ ki yahī jism yahī jism key aañch
yahī shaffāf badan jaise tarāshā huā kāñch
maiñ ne dekhā hai kahīñ ḳhvāb bhī ho saktā hai
ya.anī ik dasht tah-e-āb bhī ho saktā he
yahi peshani ki jis par koi silwaT bhi nahin
yahi raftar ki jis mein koi aahaT bhi nahin
han yahi hat jo ab tak mere haton mein nahin
yahi angusht ki hairat se jo danton mein nahin
yahi be-dagh sa chehra hai jo taKHayyul mein tha
jaise ek sada waraq bhi koi injil mein tha
yahi malbus jo is tan pe kahan Thahra hai
aaine par bhi kahin aab-e-rawan Thahra hai
sochta hun ki yahi jism yahi jism key aanch
yahi shaffaf badan jaise tarasha hua kanch
main ne dekha hai kahin KHwab bhi ho sakta hai
yani ek dasht tah-e-ab bhi ho sakta he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.