yak jaan do qalib
donoñ ek hī zaat meñ gum the
bāteñ karte hañste khelte
chalte chalte ik-dūje ko
dekh bhī lete
āb-o-havā aur miTTī ek
ek uThān
donoñ apne vaqtoñ kī āvāz bane the
dhun darīche chehrā-mohrā
ek thā un kā
ek sī rañgat ek hī rañg meñ rañge hue the
phir bhī donoñ alag alag the
donon ek hi zat mein gum the
baaten karte hanste khelte
chalte chalte ik-duje ko
dekh bhi lete
aab-o-hawa aur miTTi ek
ek uThan
donon apne waqton ki aawaz bane the
dhun dariche chehra-mohra
ek tha un ka
ek si rangat ek hi rang mein range hue the
phir bhi donon alag alag the
- Book : Harf hale (Pg. 84)
- Author : Aazam Khurshiid
- Publication : Lodhi Publishers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.