yakum may
qatl-e-gul qatl-e-sabā qatl-e-sahar kī taqrīb
mun.aqid hotī rahī bārhā aivānoñ meñ
qila-e-jabr-o-tashaddud meñ
qasr-e-zulmat meñ
ḳhalvat-e-shab meñ
gāhe-gāhe sar-e-rāhe
aur is baar ye taqrīb baḌī shaan ke saath
mun.aqid ahl-e-havas ke hāthoñ
rahguzāroñ pe huī
bar-sar-e-bāzār huī
kūcha-e-shahr-e-nigārāñ meñ huī
dasht-o-sahrā meñ huī
kohsāroñ meñ huī
nām-e-gul nām-e-sabā nām-e-sahar vird-e-zabāñ
har-nafas gām-ba-gām
mohtaram hai ravish-e-makr-o-fareb-e-paiham
sheva-e-rāhzanī kī ḳhair
pesha-e-qatl kī azmat kī duhā.ī diije
dast-e-qātil ke taqaddus kī qasam khaa.ī ga.ī
sāthiyo chalte raho
ham rivāyāt-e-chicago ke amiiñ
ḳhūn-e-fučík ke taqaddus ke amiiñ
azmat-e-ḳhūn-e-lumumba ke amiiñ
ḳhūn-e-nāsir ke amiiñ
nazr-e-ḳhūñ dete rahe haiñ
sar-e-mahfil sar-e-zindāñ sar-e-maqtal sar-e-dār
nazr-e-ḳhūñ dete raheñge ham log
qatl-e-gul qatl-e-saba qatl-e-sahar ki taqrib
munaqid hoti rahi barha aiwanon mein
qila-e-jabr-o-tashaddud mein
qasr-e-zulmat mein
KHalwat-e-shab mein
gahe-gahe sar-e-rahe
aur is bar ye taqrib baDi shan ke sath
munaqid ahl-e-hawas ke hathon
rahguzaron pe hui
bar-sar-e-bazar hui
kucha-e-shahr-e-nigaran mein hui
dasht-o-sahra mein hui
kohsaron mein hui
nam-e-gul nam-e-saba nam-e-sahar wird-e-zaban
har-nafas gam-ba-gam
mohtaram hai rawish-e-makr-o-fareb-e-paiham
shewa-e-rahzani ki KHair
pesha-e-qatl ki azmat ki duhai dije
dast-e-qatil ke taqaddus ki qasam khai gai
sathiyo chalte raho
hum riwayat-e-chicago ke amin
KHun-e-fučík ke taqaddus ke amin
azmat-e-KHun-e-lumumba ke amin
KHun-e-nasir ke amin
nazr-e-KHun dete rahe hain
sar-e-mahfil sar-e-zindan sar-e-maqtal sar-e-dar
nazr-e-KHun dete rahenge hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.