yaman aur sham ke bachchon ke liye
namāz-e-vahshat-e-qabr
safed ḳhuun vaale log
siyāh dasht meñ
ajal kī raushnī bikherte rahe
ham apnī qabr meñ paḌe hue
ajal kī raushnī se bach ga.e
magar na.e khile hue gul āftāb
us kī bheñT chaḌh ga.e
ham apnī qabr meñ paḌe paḌe
ye sochte haiñ
ab umiid kyā kareñ
ki apne vāste koī paḌhe
namāz-e-vahshat-e-qabr
namaz-e-wahshat-e-qabr
safed KHun wale log
siyah dasht mein
ajal ki raushni bikherte rahe
hum apni qabr mein paDe hue
ajal ki raushni se bach gae
magar nae khile hue gul aaftab
us ki bhenT chaDh gae
hum apni qabr mein paDe paDe
ye sochte hain
ab umid kya karen
ki apne waste koi paDhe
namaz-e-wahshat-e-qabr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.