yaqin
abhī maiñ raushnī meñ huuñ mirā kirdār zinda hai
mirī tahrīr zinda hai mirī guftār zinda hai
abhī sāñsoñ meñ garmī hai abhī raftār zinda hai
ragoñ meñ dauḌte phirte lahū kī dhaar zinda hai
musavvir kī qasam us kā hasīñ shahkār zinda hai
maiñ fitrat kā ujālā huuñ añdheroñ se nahīñ Dartā
maiñ harf-o-saut ke andhe luTeroñ se nahīñ Dartā
ḳhuda-e-bartar-o-ālā kā dil meñ pyaar zinda hai
abhī maiñ raushnī meñ huuñ mirā kirdār zinda hai
musavvir kī qasam us kā hasīñ shahkār zinda hai
abhi main raushni mein hun mera kirdar zinda hai
meri tahrir zinda hai meri guftar zinda hai
abhi sanson mein garmi hai abhi raftar zinda hai
ragon mein dauDte phirte lahu ki dhaar zinda hai
musawwir ki qasam us ka hasin shahkar zinda hai
main fitrat ka ujala hun andheron se nahin Darta
main harf-o-saut ke andhe luTeron se nahin Darta
KHuda-e-bartar-o-ala ka dil mein pyar zinda hai
abhi main raushni mein hun mera kirdar zinda hai
musawwir ki qasam us ka hasin shahkar zinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.