yaqin
jhamāka nuur kā hogā
lahū ko ik na.ī rangat milegī
pasīne kī jagah motī Dhaleñge
jagah farmāñ-ravāoñ kī ġhulāmoñ ko milegī
ubalte chauk hoñ yā band kūche
havā kī jāñch hogī
kaḌī dhūpoñ kī shāḳheñ
qatāreñ chhalniyoñ kī chhāñT deñgī
muzir kirnoñ ko hoñge qaid-ḳhāne
khulī āñkhoñ ko zahr aur zahar-paikar
na deñ pā.eñge dhokā
jagah farmāñ-ravāoñ kī ġhulāmoñ ko milegī
jhamāka nuur kā hogā
mire munkir mujhe pahchān leñge
jhamaka nur ka hoga
lahu ko ek nai rangat milegi
pasine ki jagah moti Dhalenge
jagah farman-rawaon ki ghulamon ko milegi
ubalte chauk hon ya band kuche
hawa ki jaanch hogi
kaDi dhupon ki shaKHen
qataren chhalniyon ki chhanT dengi
muzir kirnon ko honge qaid-KHane
khuli aankhon ko zahr aur zahar-paikar
na den paenge dhoka
jagah farman-rawaon ki ghulamon ko milegi
jhamaka nur ka hoga
mere munkir mujhe pahchan lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.