Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaqin ki ghair-fani saat

Mansoor Aafaque

yaqin ki ghair-fani saat

Mansoor Aafaque

MORE BYMansoor Aafaque

    Interesting Fact

    tisre misre me.n "saahib" KHud shayer ne apne bete "saahib mansuur" ki taraf ishaara kiyaa hai

    shaam ke aadhe badan par the shafaq ke kuchh graph

    din churāne par tulā thā raat tiira lihāf

    aur āñgan meñ mirā nanhā sāhib

    bhāgtā phirtā thā jaane kyā pakaḌne ke liye

    apnī muTThī khol kar phir band kar letā thā vo

    maiñ ne pūchhā ''kyā pakaḌte phir rahe ho sehn meñ''

    bolā kirnoñ ko pakaḌtā huuñ

    ''abhī kuchh der meñ sūraj mirā

    so jā.egā

    bistar meñ kar raat ke...''

    sham ke aadhe badan par the shafaq ke kuchh graph

    din churane par tula tha raat ka tera lihaf

    aur aangan mein mera nanha sa sahib

    bhagta phirta tha jaane kya pakaDne ke liye

    apni muTThi khol kar phir band kar leta tha wo

    main ne puchha kya pakaDte phir rahe ho sehn mein

    bola kirnon ko pakaDta hun

    abhi kuchh der mein suraj mera

    so jaega

    bistar mein ja kar raat ke

    Source :
    • Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 365)
    • Author : Naseer Ahmed Nasir
    • Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
    • Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now