yatim insaf
Interesting Fact
Inspired by Faiz's nazm "Yateem lahu"
har ek kone meñ har kan meñ hai lahū kā surāġh
Tapak rahā hai lahū āstīn-e-qātil se
jhalak rahā hai abhī ḳhauf chashm-e-bismil se
haiñ ḳhaak pe na.e dhabbe haiñ baam pe na.e daaġh
har ek kone meñ har kan meñ hai lahū kā surāġh
huī hai ādmiyat sarf dīn-e-shaitāñ par
huā hai sarf lahū tishnagī-e-haivāñ par
ye ḳhūn-e-ḳhāk-nashīnī banā hai rizq-e-sitam
huā hai silsila-e-jaur ke alam pe raqam
pukār kartā hai be-āsrā yatīm lahū
kisī ke paas samā.at kā vaqt hai na dimāġh
zabān-e-mudda.ī ḳham hai shahādat āvāra
zamīñ ke siine pe bahtā hai ḳhuun kā dhārā
har ek kone meñ har kan meñ hai lahū kā surāġh
har ek kone mein har kan mein hai lahu ka suragh
Tapak raha hai lahu aastin-e-qatil se
jhalak raha hai abhi KHauf chashm-e-bismil se
hain KHak pe nae dhabbe hain baam pe nae dagh
har ek kone mein har kan mein hai lahu ka suragh
hui hai aadmiyat sarf din-e-shaitan par
hua hai sarf lahu tishnagi-e-haiwan par
ye KHun-e-KHak-nashini bana hai rizq-e-sitam
hua hai silsila-e-jaur ke alam pe raqam
pukar karta hai be-asra yatim lahu
kisi ke pas samaat ka waqt hai na dimagh
zaban-e-muddai KHam hai shahadat aawara
zamin ke sine pe bahta hai KHun ka dhaara
har ek kone mein har kan mein hai lahu ka suragh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.