yaum-e-yaadgar-e-sir-sayyad dar-dakan
jo sham.a-e-ilm-e-maġhrib sayyad ne keī thī raushan
bikhrī huī haiñ jis keī kirneñ har anjuman meñ
us sham-e-ilm-o-fan keī kuchh muntashir shuā.eñ
yārān-e-bazm tum ho us gosha-e-dakan meñ
lekin ye shab rakkho sachchī shuā vo hai
āñkhoñ kā nuur ban kar phaile jo mard-o-zan meñ
jo sham.a se nikal kar duniyā ko jagmagā de
jo rūh-e-tāza phūñke har paikar-e-kuhan meñ
māhaul ke asar se aa.e na farq lāzim
gulzār keī kiran aur kohsār keī kiran meñ
aur ye nahīñ to phir tum miTTī kā vo diyā ho
afsurda nuur jis kā mahdūd ho lagan meñ
'sayyad' ne nisbatoñ ke da.ave to sach haiñ lekin
ik pahlū-e-amal bhī darkār hai suḳhan meñ
jo shama-e-ilm-e-maghrib sayyad ne kei thi raushan
bikhri hui hain jis kei kirnen har anjuman mein
us sham-e-ilm-o-fan kei kuchh muntashir shuaen
yaran-e-bazm tum ho us gosha-e-dakan mein
lekin ye shab rakkho sachchi shua wo hai
aankhon ka nur ban kar phaile jo mard-o-zan mein
jo shama se nikal kar duniya ko jagmaga de
jo ruh-e-taza phunke har paikar-e-kuhan mein
mahaul ke asar se aae na farq lazim
gulzar kei kiran aur kohsar kei kiran mein
aur ye nahin to phir tum miTTi ka wo diya ho
afsurda nur jis ka mahdud ho lagan mein
'sayyad' ne nisbaton ke dawe to sach hain lekin
ek pahlu-e-amal bhi darkar hai suKHan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.