ye achchhe log hain
ye achchhe log haiñ in se na milnā
aur milnā bhī to in kī āstīneñ dekh lenā
ye achchhe log haiñ aur be-shikan shā.istagī in kā muqaddar hai
ye achchhe log haiñ aur be-sadā shorīdgī in kā muqaddar hai
lapakte pāniyoñ kī āḳhirī āsūdgī in kā muqaddar hai
ye achchhe log haiñ jab shaam hotī hai
to be-āvāz galiyoñ ke sahāre
kunj-e-goyā.ī meñ apnī aag lene jaate haiñ
aur rāste bhar ḳhud ko paiġhambar samajhte haiñ
ye achchhe log haiñ aur aag in kā mas.ala hai
ye achchhe log haiñ sadiyoñ se un kī maa.eñ kahtī aa rahī haiñ
paḌosan aag denā
dhuāñ dete hue chūlhe kī sub.heñ
āñganoñ meñ phailte saa.e
kiranjī dhuup bhūrī aañkh vaalī laḌkiyoñ jaisī
vafā nā-āshnā shāmeñ
tave ko señkte ThiThure hue haath
aur rātoñ kī ulajhtī silvaTeñ
jismoñ kī āsūda salībeñ
aspatāloñ meñ janm detī huī martī huī maa.eñ
ye shamshānoñ kī bevā.eñ
ka.ī sadiyoñ se dohrā.eñ
paḌosan aag denā
paḌosan aag ḳhamyāza
unhī rastoñ kā āvāza
unhī rastoñ pe chalnā aur yahī kahnā
ye achchhe log haiñ in se na milnā
aur milnā bhī to in kī āstīneñ dekh lenā
ye achchhe log hain in se na milna
aur milna bhi to in ki aastinen dekh lena
ye achchhe log hain aur be-shikan shaistagi in ka muqaddar hai
ye achchhe log hain aur be-sada shoridgi in ka muqaddar hai
lapakte paniyon ki aaKHiri aasudgi in ka muqaddar hai
ye achchhe log hain jab sham hoti hai
to be-awaz galiyon ke sahaare
kunj-e-goyai mein apni aag lene jate hain
aur raste bhar KHud ko paighambar samajhte hain
ye achchhe log hain aur aag in ka masala hai
ye achchhe log hain sadiyon se un ki maen kahti aa rahi hain
paDosan aag dena
dhuan dete hue chulhe ki subhen
aanganon mein phailte sae
kiranji dhup bhuri aankh wali laDkiyon jaisi
wafa na-ashna shamen
tawe ko senkte ThiThure hue hath
aur raaton ki ulajhti silwaTen
jismon ki aasuda saliben
aspatalon mein janm deti hui marti hui maen
ye shamshanon ki bewaen
kai sadiyon se dohraen
paDosan aag dena
paDosan aag KHamyaza
unhi raston ka aawaza
unhi raston pe chalna aur yahi kahna
ye achchhe log hain in se na milna
aur milna bhi to in ki aastinen dekh lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.