ye baghawat hai
rauñdte jaao guzargāhoñ ko
sar uThā.e hue
siina taane
kaañp jaa.eñ dar-o-dīvār
qadam yuuñ uTheñ
dhaḌkaneñ dil kī baneñ bāñg-e-rahīl
ye baġhāvat hai
baġhāvat hī sahī
ham ne anjām-e-vafā dekh liyā
ḳhas-o-ḳhāshāk bahātā huā apnā sailāb
ab jo uThā hai to baḌhtā hī chalā jā.egā
ye zar-o-sīm ke tūdoñ se nahīñ ruk saktā
goliyāñ
kis ko Darāte ho
ye Das saktī haiñ
Das jaane do
be-navā sust-qadam vāmāñda
saal aate the chale jaate the
vaqt ke dāman ḳhush-rañg pe kaale dhabbe
ḳhushk-lab hāñpte bebas ayyām
raah ke beach meñ uljhe hue rah jaate the sustāne ko
ghabrā.e hue
ab to har saañs dahaktā huā añgāra hai
dil ki barfāb the ab ātish-e-sayyāl kā favvāra haiñ
barq-raftār hai vaqt
aur ham vaqf se do-chār qadam aage haiñ
chīḳh uTheñ qarnā.eñ
jhāñjh bajeñ
dhuum ho naqqāroñ kī
muskurāte hue gaate hue baḌhte jaao
pheñkte haiñ hameñ tāroñ pe kamand
ḳhema-zan honā hai mirrīḳh ke maidānoñ meñ
raundte jao guzargahon ko
sar uThae hue
sina tane
kanp jaen dar-o-diwar
qadam yun uThen
dhaDkanen dil ki banen bang-e-rahil
ye baghawat hai
baghawat hi sahi
hum ne anjam-e-wafa dekh liya
KHas-o-KHashak bahata hua apna sailab
ab jo uTha hai to baDhta hi chala jaega
ye zar-o-sim ke tudon se nahin ruk sakta
goliyan
kis ko Daraate ho
ye Das sakti hain
Das jaane do
be-nawa sust-qadam wamanda
sal aate the chale jate the
waqt ke daman KHush-rang pe kale dhabbe
KHushk-lab hanpte bebas ayyam
rah ke beach mein uljhe hue rah jate the sustane ko
ghabrae hue
ab to har sans dahakta hua angara hai
dil ki barfab the ab aatish-e-sayyal ka fawwara hain
barq-raftar hai waqt
aur hum waqf se do-chaar qadam aage hain
chiKH uThen qarnaen
jhanjh bajen
dhum ho naqqaron ki
muskuraate hue gate hue baDhte jao
phenkte hain hamein taron pe kamand
KHema-zan hona hai mirriKH ke maidanon mein
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 83)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.