ye bose
tum mujhe maqrūz kar dete ho
apne bosoñ se
mirā baal baal bañdh gayā hai
is qarze meñ
roz bilā-nāġhā
ye bose jaise apnī yād-dāsht
kho dete haiñ
jab āhista āhista maiñ
apnī uñgliyāñ phertī huuñ
un ke sabt kiye hue nishānoñ par
ye merī poroñ par
apnī koī lams nahīñ chhoḌte
un kī garm-joshī aur tapish
mere chehre par sarsarāne ke bajā.e
havāoñ kī tundī se jā miltī hai
aur
un pattoñ se
jin ko paalā maar gayā ho
tum mujhe maqruz kar dete ho
apne boson se
mera baal baal bandh gaya hai
is qarze mein
roz bila-nagha
ye bose jaise apni yaad-dasht
kho dete hain
jab aahista aahista main
apni ungliyan pherti hun
un ke sabt kiye hue nishanon par
ye meri poron par
apni koi lams nahin chhoDte
un ki garm-joshi aur tapish
mere chehre par sarsarane ke bajae
hawaon ki tundi se ja milti hai
aur
un patton se
jin ko pala mar gaya ho
- Book : hairat ke us paar (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.