Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye chunnu KHan ka qissa hai

Mohammad Shafiuddin Nayyar

ye chunnu KHan ka qissa hai

Mohammad Shafiuddin Nayyar

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    ye chunnū ḳhaañ qissa hai

    jo munnū ḳhaañ ke the ham-dam

    thī umr un bahut kaafī

    magar thī aql un meñ kam

    vo kahte khāne ko happā

    vo kahte paanī ko mam mam

    vo pagḌī bāñdhte aisī

    chamaktī ḳhuub vo jham jham

    bajāte har ghaḌī baajā

    kabhī puuñ puuñ kabhī pam pam

    miyāñ chunnū kahīñ jaate

    to kahte laao ik Tam Tam

    ghaTā ghir kar agar aatī

    barastā meñh agar chham chham

    galī meñ vo nikal jaate

    vo girte ḳhuub dham dham

    vo kīchaḌ meñ luthaḌ jaate

    tamāshā dekhte ye ham

    kabhī bak-bak kiyā karte

    kabhī vo bolte kam-kam

    vo kahte maiñ ko meñ meñ meñ

    vo kahte ham ko ham ham ham

    ye chunnu KHan ka qissa hai

    jo munnu KHan ke the ham-dam

    thi umr un ki bahut kafi

    magar thi aql un mein kam

    wo kahte khane ko happa

    wo kahte pani ko mam mam

    wo pagDi bandhte aisi

    chamakti KHub wo jham jham

    bajate har ghaDi baja

    kabhi pun pun kabhi pam pam

    miyan chunnu kahin jate

    to kahte lao ek Tam Tam

    ghaTa ghir kar agar aati

    barasta meinh agar chham chham

    gali mein wo nikal jate

    wo girte KHub hi dham dham

    wo kichaD mein luthaD jate

    tamasha dekhte ye hum

    kabhi bak-bak kiya karte

    kabhi wo bolte kam-kam

    wo kahte main ko mein mein mein

    wo kahte hum ko hum hum hum

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now