ye dard ab ke siwa hai had se
vo dard bhī thā sivā hadoñ se
tumhārī aamad kā jis meñ muzhda chhupā huā thā
vo dard rag rag kī chīḳh ban kar sadā huā thā
to aañkh ḳhushiyoñ se nam huī thī
zabāñ se shukr-e-ḳhudā thā niklā
zamīñ kā TukḌā jo zer-e-pā thā
huā thā jannat
ki apnī takmīl par huī thī maiñ sar-ba-sajda
magar mirī jaañ
vo ḳhvāb mausam guzar chukā hai
hazār rātoñ ke ratjagoñ kā hisāb kaisā
jise ki apne lahū se sīñchā
shajar banāyā
vo merā kab thā
azaab kaise utar rahe haiñ
yā ḳhvāb āñkhoñ meñ mar rahe haiñ
rafāqatoñ meñ ye hijratoñ kī mahak ghulī kyuuñ
masāfatoñ meñ thakan sī kyuuñ jism-o-jāñ meñ utrī
koī batā.e
ki god bharne ke ba.ad ḳhālī ye haath kyuuñ haiñ
ye kaisā chehra hai zindagī kā
laboñ pe harf-e-duā hai sākit
maiñ phir se ik baar dard lahroñ kī zad pe Thahrī ye sochtī huuñ
ki jis ko banñe meñ umr kaaTī
vo ḳhvāb-e-mausam guzar chuke haiñ
ġhubār āñkhoñ meñ bhar chuke haiñ
naved detā ho koī lamha
koī pukāre ki maiñ yahīñ huuñ
palaT ke aa.eñ vo paañv jis ke liye zamīñ huuñ
nahīñ hai koī sadā nahīñ hai
magar mirī jaañ ye dard ab ke sivā hai had se
wo dard bhi tha siwa hadon se
tumhaari aamad ka jis mein muzhda chhupa hua tha
wo dard rag rag ki chiKH ban kar sada hua tha
to aankh KHushiyon se nam hui thi
zaban se shukr-e-KHuda tha nikla
zamin ka TukDa jo zer-e-pa tha
hua tha jannat
ki apni takmil par hui thi main sar-ba-sajda
magar meri jaan
wo KHwab mausam guzar chuka hai
hazar raaton ke ratjagon ka hisab kaisa
jise ki apne lahu se sincha
shajar banaya
wo mera kab tha
azab kaise utar rahe hain
ya KHwab aankhon mein mar rahe hain
rafaqaton mein ye hijraton ki mahak ghuli kyun
masafaton mein thakan si kyun jism-o-jaan mein utri
koi batae
ki god bharne ke baad KHali ye hath kyun hain
ye kaisa chehra hai zindagi ka
labon pe harf-e-dua hai sakit
main phir se ek bar dard lahron ki zad pe Thahri ye sochti hun
ki jis ko banne mein umr kaTi
wo KHwab-e-mausam guzar chuke hain
ghubar aankhon mein bhar chuke hain
nawed deta ho koi lamha
koi pukare ki main yahin hun
palaT ke aaen wo panw jis ke liye zamin hun
nahin hai koi sada nahin hai
magar meri jaan ye dard ab ke siwa hai had se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.