ye dil mange mor
pichhle do tiin saal se akasr
ghar meñ ik ishtihār dekhtā huuñ
jis meñ likhā hai
ye jo haiñ tiin lafz añgrezī
aaj tak ye samajh meñ aa na sakā
haiñ ḳhudā ke liye ki mere liye
maiñ to mafhūm un kā pā na sakā
kyā ḳhudā dekhtā hai zī T v
roz jab raat ghar pahuñchtā huuñ
suunī jeboñ ko maiñ TaToltā huuñ
merī biivī kī āñkheñ pūchhtī haiñ
aaj bhī zindagī ne kam hī diyā
lo tumhārī ye niiñd kī golī
ik na.ī nazm kah ke so jaao
pichhle do tin sal se akasr
ghar mein ek ishtihaar dekhta hun
jis mein likha hai
ye jo hain tin lafz angrezi
aaj tak ye samajh mein aa na saka
hain KHuda ke liye ki mere liye
main to mafhum un ka pa na saka
kya KHuda dekhta hai zi T w
roz jab raat ghar pahunchta hun
suni jebon ko main TaTolta hun
meri biwi ki aankhen puchhti hain
aaj bhi zindagi ne kam hi diya
lo tumhaari ye nind ki goli
ek nai nazm kah ke so jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.