ye dimagh
ye dimāġh sotā hī rahtā hai
maile malgaje kapḌoñ kī gaThrī
ek ūñghtā huā kāhil vajūd
nashshe kī aadat se be-kār
ye dimāġh sotā hī rahtā hai
aham confrencoñ meñ
ḳhaas majlisoñ meñ
koī hādsa hone vaalā ho
yā koī tabdīlī aane vaalī ho
kone meñ gumḌī maare paḌā rahtā hai
soche hue ek arsa huā
me.ade meñ jalan hotī thī
to chal detā thā khojne ke liye
zyāda haath pā.ūñ phir bhī nahīñ mārtā thā
gumḌī maare hue
khojne ke liye sochnā
us ke bas se bāhar thā
pūchhe koī is thake hue se
ye kab bedār hogā
kāhil
be-kār
gumḌī maare hue
nākāra
maile malgaje kapḌoñ kī gaThrī
ye dimāġh
ye dimagh sota hi rahta hai
maile malgaje kapDon ki gaThri
ek unghta hua kahil wajud
nashshe ki aadat se be-kar
ye dimagh sota hi rahta hai
aham confrencon mein
KHas majlison mein
koi hadsa hone wala ho
ya koi tabdili aane wali ho
kone mein gumDi mare paDa rahta hai
soche hue ek arsa hua
meade mein jalan hoti thi
to chal deta tha khojne ke liye
zyaada hath paun phir bhi nahin marta tha
gumDi mare hue
khojne ke liye sochna
us ke bas se bahar tha
puchhe koi is thake hue se
ye kab bedar hoga
kahil
be-kar
gumDi mare hue
nakara
maile malgaje kapDon ki gaThri
ye dimagh
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 76)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.