ye dukh kam kyun nahin hota
ye dukh kam kyuuñ nahīñ hotā
merī jānāñ
hameñ bichhḌe to
kitne
din
mahīne
saal
guzre haiñ
magar ye choT
gahrī hai
magar ye zaḳhm
taaze haiñ
ye dukh kam kyuuñ nahīñ hotā
merī jānāñ
agar maiñ saath
do panchhī bhī baiThe dekhtā huuñ to
mere maazī kā har manzar
merī āñkhoñ ke Doroñ meñ
ubhartā hai
taḌaptā hai
merī āñkhoñ kī putlī Duub jaatī hai
ye dukh kam kyuuñ nahīñ hotā
merī jānāñ
vo saare log
jin kī vaj.h se
ham log bichhḌe the
mukammal zindagī kar ke
vo sab qabr meñ so.e haiñ
tumhārā dukh mire siine meñ lekin
ab bhī zinda hai
javāñ hotā hī jaatā hai
ye dukh kam kyuuñ nahīñ hotā
mirī jānāñ
ab itnī muddatoñ meñ
tum bhī shāyad
bhuul baiThī ho
mire sab dost rishta-dār
lākhoñ miil aage haiñ
safar meñ zindagī ke
magar maiñ rah gayā kirdār
tanhā
is kahānī meñ
ye dukh kam kyuuñ nahīñ hotā
mirī jānāñ
ye dukh kam kyun nahin hota
meri jaanan
hamein bichhDe to
kitne
din
mahine
sal
guzre hain
magar ye choT
gahri hai
magar ye zaKHm
taze hain
ye dukh kam kyun nahin hota
meri jaanan
agar main sath
do panchhi bhi baiThe dekhta hun to
mere mazi ka har manzar
meri aankhon ke Doron mein
ubharta hai
taDapta hai
meri aankhon ki putli Dub jati hai
ye dukh kam kyun nahin hota
meri jaanan
wo sare log
jin ki wajh se
hum log bichhDe the
mukammal zindagi kar ke
wo sab qabr mein soe hain
tumhaara dukh mere sine mein lekin
ab bhi zinda hai
jawan hota hi jata hai
ye dukh kam kyun nahin hota
meri jaanan
ab itni muddaton mein
tum bhi shayad
bhul baiThi ho
mere sab dost rishta-dar
lakhon mil aage hain
safar mein zindagi ke
magar main rah gaya kirdar
tanha
is kahani mein
ye dukh kam kyun nahin hota
meri jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.