ye duniya kitni pyari hai
ye duniyā kitnī pyārī hai
har ik baat is kī nyārī hai
ye duniyā kitnī pyārī hai
makāñ ābād haiñ kaise
makīñ dil-shād haiñ kaise
ye duniyā kitnī pyārī hai
kabhī din hai nazāre haiñ
kabhī hai raat taare haiñ
ye duniyā kitnī pyārī hai
chaman meñ paude hilte haiñ
gale aapas meñ milte haiñ
ye duniyā kitnī pyārī hai
gajar dam gaatī haiñ chiḌiyāñ
diloñ ko bhātī haiñ chiḌiyāñ
ye duniyā kitnī pyārī hai
khile haiñ phuul gulshan meñ
ugī haiñ jhāḌiyāñ ban meñ
ye duniyā kitnī pyārī hai
havā ke jhoñke aate haiñ
shagūfe muskurāte haiñ
ye duniyā kitnī pyārī hai
parinde chahchahāte haiñ
hamārā jī lubhāte haiñ
ye duniyā kitnī pyārī hai
ghaTā.eñ ghir ke aatī haiñ
bahāreñ meñh kī laatī haiñ
ye duniyā kitnī pyārī hai
samundar haiñ ravāñ dekho
jahāz aur kashtiyāñ dekho
ye duniyā kitnī pyārī hai
ye kosoñ tak hare jañgal
daraḳhtoñ se bhare jañgal
ye duniyā kitnī pyārī hai
ye duniyā kitnī pyārī hai
ye duniya kitni pyari hai
har ek baat is ki nyari hai
ye duniya kitni pyari hai
makan aabaad hain kaise
makin dil-shad hain kaise
ye duniya kitni pyari hai
kabhi din hai nazare hain
kabhi hai raat tare hain
ye duniya kitni pyari hai
chaman mein paude hilte hain
gale aapas mein milte hain
ye duniya kitni pyari hai
gajar dam gati hain chiDiyan
dilon ko bhati hain chiDiyan
ye duniya kitni pyari hai
khile hain phul gulshan mein
ugi hain jhaDiyan ban mein
ye duniya kitni pyari hai
hawa ke jhonke aate hain
shagufe muskuraate hain
ye duniya kitni pyari hai
parinde chahchahate hain
hamara ji lubhate hain
ye duniya kitni pyari hai
ghaTaen ghir ke aati hain
bahaaren meinh ki lati hain
ye duniya kitni pyari hai
samundar hain rawan dekho
jahaz aur kashtiyan dekho
ye duniya kitni pyari hai
ye koson tak hare jangal
daraKHton se bhare jangal
ye duniya kitni pyari hai
ye duniya kitni pyari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.