mohabbat
zindagī kā ārizī Thikānā hai
aur
shahr meñ tafrīhī maqāmāt kī qillat
ābādī meñ izāfe kī asal vaj.h
ye baat bahut kam log jānte haiñ
kirā.e ke makānoñ meñ paidā hone vaale bachche
āñkhoñ meñ dīvāreñ le kar paidā hote haiñ
aur chhatoñ ke ḳhvāb dekhte hue
zindagī kā ziyāda hissa
nākāmī kā ta.ana sunte hue guzār dete haiñ
ta.ana sunñe vaalī āñkhoñ meñ
aañsū aur shikāyat
ek fitrī amal hai
jis kā radd-e-amal bhī
ābādī meñ izāfe kī vaj.h ban saktā hai
mohabbat
zindagi ka aarizi Thikana hai
aur
shahr mein tafrihi maqamat ki qillat
aabaadi mein izafe ki asal wajh
ye baat bahut kam log jaante hain
kirae ke makanon mein paida hone wale bachche
aankhon mein diwaren le kar paida hote hain
aur chhaton ke KHwab dekhte hue
zindagi ka ziyaada hissa
nakaami ka tana sunte hue guzar dete hain
tana sunne wali aankhon mein
aansu aur shikayat
ek fitri amal hai
jis ka radd-e-amal bhi
aabaadi mein izafe ki wajh ban sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.