ye girta hua shahr mera nahin
ye aag aur ḳhuuñ ke samundar meñ girtā huā shahr merā nahīñ
havā se ulajhtā huā maiñ chalā jā rahā huuñ añdherā hai gahrā ghanā be-amāñ
raat ke dasht meñ tere mere makāñ
duur hote chale jā rahe haiñ
lahū ke ujāle bhī ma.adūm haiñ
aur tārīk gumbad meñ ma.asūm rūhoñ ke kohrām meñ
be-sadā āsmāñ kī taraf
ḳhuuñ meñ luThḌe hue haath uThte haiñ tahlīl ho jaate haiñ
aur kahīñ duur apnī fasīloñ ke andar bikhartī huī
nā-murādoñ kī bastī ke uupar
havā se ulajhtā huā maiñ uḌā jā rahā huuñ añdherā hai gahrā ghanā be-amāñ
maiñ bulātā huuñ āvāz detā huuñ ab us hasīñ shahr ko
jo purānī zamīnoñ ke nīche kahīñ dafn hai
koī āvāz kānoñ meñ aatī nahīñ hai
maiñ shāyad purānī zamīnoñ ke nīche bahut duur nīche kahīñ dafn huuñ
ḳhuuñ meñ luThḌe hue haath
tārīk gumbad
ye andhī havā
phaḌphaḌātā huā ek zaḳhmī parinda
kahīñ duur apnī fasīloñ ke andar bikhartī huī
nā-murādoñ kī bastī ke uupar
maiñ jalte paroñ se uḌā jā rahā huuñ
ye aag aur ḳhuuñ ke samundar meñ girtā huā shahr merā nahīñ hai
ye aag aur KHun ke samundar mein girta hua shahr mera nahin
hawa se ulajhta hua main chala ja raha hun andhera hai gahra ghana be-aman
raat ke dasht mein tere mere makan
dur hote chale ja rahe hain
lahu ke ujale bhi madum hain
aur tarik gumbad mein masum ruhon ke kohram mein
be-sada aasman ki taraf
KHun mein luThDe hue hath uThte hain tahlil ho jate hain
aur kahin dur apni fasilon ke andar bikharti hui
na-muradon ki basti ke upar
hawa se ulajhta hua main uDa ja raha hun andhera hai gahra ghana be-aman
main bulata hun aawaz deta hun ab us hasin shahr ko
jo purani zaminon ke niche kahin dafn hai
koi aawaz kanon mein aati nahin hai
main shayad purani zaminon ke niche bahut dur niche kahin dafn hun
KHun mein luThDe hue hath
tarik gumbad
ye andhi hawa
phaDphaData hua ek zaKHmi parinda
kahin dur apni fasilon ke andar bikharti hui
na-muradon ki basti ke upar
main jalte paron se uDa ja raha hun
ye aag aur KHun ke samundar mein girta hua shahr mera nahin hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 561)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.