ye hath
ye haath kitne hasīñ kitne ḳhūbsūrat haiñ
ye haath jin pe hai ik jaal sā lakīroñ kā
lakīreñ jin meñ haiñ sadiyoñ ke irtiqā ke nishāñ
nishāñ amal ke azā.em ke ilm-o-hikmat ke
sa.ūbatoñ ke salābat ke aur mashaqqat ke
vafā ke qurb-o-rifāqat ke mehr-o-ulfat ke
safā-o-sidq ke insāniyat kī ḳhidmat ke
karam ke jūd-o-saḳhā ke atā ke baḳhshish ke
kamāl-o-kashf ke kāvish ke aur koshish ke
ye haath kitne hasīñ kitne ḳhūb-sūrat haiñ
magar hamesha mujhe in se ḳhauf aayā hai
ye haath saañp kā phan haiñ
ye haath haath nahīñ
mujhe na dekho mire haath par nazar rakkho
ye hath kitne hasin kitne KHubsurat hain
ye hath jin pe hai ek jal sa lakiron ka
lakiren jin mein hain sadiyon ke irtiqa ke nishan
nishan amal ke azaem ke ilm-o-hikmat ke
saubaton ke salabat ke aur mashaqqat ke
wafa ke qurb-o-rifaqat ke mehr-o-ulfat ke
safa-o-sidq ke insaniyat ki KHidmat ke
karam ke jud-o-saKHa ke ata ke baKHshish ke
kamal-o-kashf ke kawish ke aur koshish ke
ye hath kitne hasin kitne KHub-surat hain
magar hamesha mujhe in se KHauf aaya hai
ye hath sanp ka phan hain
ye hath hath nahin
mujhe na dekho mere hath par nazar rakkho
- Book : shab-khoon(shumara-number-28) (Pg. 28)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.