ye hum kaun hain
ye ham kaun haiñ
vaqt kī shāh-rāhoñ pe nañge qadam
tez tez dhuup meñ
be-ridā be-amāñ
rāste meñ koī miil patthar nahīñ
aur havā-e-masāfat guzarte hue
ruk ke kahtī hai ye
koī manzil tumhārā muqaddar nahīñ
ye ham kaun haiñ
be-yaqīnī ke sāhil pe tanhā khaḌe
aañkh kī kashtiyāñ
pāniyoñ ke safar par ravāna huiiñ
duur tak
nīlgūñ
sabz paanī kā girdāb hai
vāpsī kā tasavvur bhī ab ḳhvāb hai
ḳhvāb hai
ye ham kaun haiñ
niiñd meñ jāgte
ḳhvāb meñ bhāgte
ḳhema-e-jāñ ko apne hī hāthoñ meñ thāme hue
jin ke kachche gharoñdoñ ko
be-vaqt kī bārisheñ khā ga.iiñ
sab sitam Dah ga.iiñ
ye ham kaun haiñ
sajda-gāh-e-mohabbat meñ jin kī jabīñ
sañg-e-dar ho ga.ī
mo'atabar ho ga.ī
aur hoñToñ pe harf-e-duā tak nahīñ
iltijā tak nahīñ
āsmānoñ kī khiḌkī khulī hai magar
ḳhāliq-e-shash-jihat
mālik-e-bahr-o-bar
dekh saktā nahīñ
pūchh saktā nahīñ
ye ham kaun haiñ
ye hum kaun hain
waqt ki shah-rahon pe nange qadam
tez tez dhup mein
be-rida be-aman
raste mein koi mil patthar nahin
aur hawa-e-masafat guzarte hue
ruk ke kahti hai ye
koi manzil tumhaara muqaddar nahin
ye hum kaun hain
be-yaqini ke sahil pe tanha khaDe
aankh ki kashtiyan
paniyon ke safar par rawana huin
dur tak
nilgun
sabz pani ka girdab hai
wapsi ka tasawwur bhi ab KHwab hai
KHwab hai
ye hum kaun hain
nind mein jagte
KHwab mein bhagte
KHema-e-jaan ko apne hi hathon mein thame hue
jin ke kachche gharondon ko
be-waqt ki barishen kha gain
sab sitam Dah gain
ye hum kaun hain
sajda-gah-e-mohabbat mein jin ki jabin
sang-e-dar ho gai
mo'atabar ho gai
aur honTon pe harf-e-dua tak nahin
iltija tak nahin
aasmanon ki khiDki khuli hai magar
KHaliq-e-shash-jihat
malik-e-bahr-o-bar
dekh sakta nahin
puchh sakta nahin
ye hum kaun hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 168)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.