ye ek dohri aziyyat hai
ye ik dohrī aziyyat hai
aziyyat be-sabab hañsne kī
be-ārām rātoñ kī kahānī
shab-zadoñ ke sāmne
hañs hañs ke kahne kī
ḳhudāvand ḳhudā kī mehrbānī hai
duā.eñ aap kī haiñ
aap kī sarkār meñ zinda huuñ ḳhush huuñ
bataur nāsehāñ miltā hai koī
ba-rañg-e-mehrbāñ miltā hai koī
ba-sa.ī-e-rā.egāñ miltā hai koī
vo kam-āgāh kam-ehsās kam-āvāz laḌkī hai
vo laḌkī mujh se miltī hai
magar andar utar jaa.e to chubhtī hai
vo apnī kam-savādī jāntī hai aur sisaktī hai
ajab sūrat hai vo jab bhī kahīñ jaa.e to aa jaa.e
kahīñ rasta kināre mujh se Takrā.e to aa jaa.e
kabhī bhī apnī kaj-fahmī pe ro jaa.e to aa jaa.e
havā-e-shām kī āvāz sun paa.e to aa jaa.e
havā-e-shām ye kaisī mohabbat hai
vo laḌkī mujh se miltī hai
magar andar utar jaa.e to chubhtī hai
vo apnī kam-savādī jāntī hai aur sisaktī hai
maiñ apnī kam-savādī jāntā huuñ aur hañstā huuñ
ye ik dohrī aziyyat hai
ye ek dohri aziyyat hai
aziyyat be-sabab hansne ki
be-aram raaton ki kahani
shab-zadon ke samne
hans hans ke kahne ki
KHudawand KHuda ki mehrbani hai
duaen aap ki hain
aap ki sarkar mein zinda hun KHush hun
bataur nasehan milta hai koi
ba-rang-e-mehrban milta hai koi
ba-sai-e-raegan milta hai koi
wo kam-agah kam-ehsas kam-awaz laDki hai
wo laDki mujh se milti hai
magar andar utar jae to chubhti hai
wo apni kam-sawadi jaanti hai aur sisakti hai
ajab surat hai wo jab bhi kahin jae to aa jae
kahin rasta kinare mujh se Takrae to aa jae
kabhi bhi apni kaj-fahmi pe ro jae to aa jae
hawa-e-sham ki aawaz sun pae to aa jae
hawa-e-sham ye kaisi mohabbat hai
wo laDki mujh se milti hai
magar andar utar jae to chubhti hai
wo apni kam-sawadi jaanti hai aur sisakti hai
main apni kam-sawadi jaanta hun aur hansta hun
ye ek dohri aziyyat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.