ye ishq kahan le jaega
taptī rāhoñ se chal chal ke
jab chhāñv kī ḳhvāhish bhī na rahī
āshiqoñ kī ravānī rok to lī
qatra qatra ummīd bahā.ī
ye ishq kahāñ le jā.egā
be-ḳhvāb saveroñ kī āvāz
pur-nūr shaboñ ko bhuul ga.e
andāz-e-bayāñ meñ ulajh ga.e
shīrīñ laboñ ko bhuul ga.e
ye ishq kahāñ le jā.egā
sadiyoñ kī thakan se jiit ke bhī
ik pal kī nirāshā sah na sake
sāgar piine kā da.avā hai
do ashk bahe bin rah na sake
ye ishq kahāñ le jā.egā
le gayā jahāñ le jaanā thā
kuchh ḳhaas maze kī jagah nahīñ
jis kī ḳhātir dil ko toḌeñ
mar jaa.eñ ye vo vaj.h nahīñ
ye ishq kahāñ le jā.egā
hastī ke aur bhī mudda.ā haiñ
hañsne ke bahāne aur bhī haiñ
ḳhvāhish ke darīche haiñ har sū
aur ġham ke fasāne aur bhī haiñ
ye ishq kahāñ le jā.egā
tapti rahon se chal chal ke
jab chhanw ki KHwahish bhi na rahi
aashiqon ki rawani rok to li
qatra qatra ummid bahai
ye ishq kahan le jaega
be-KHwab saweron ki aawaz
pur-nur shabon ko bhul gae
andaz-e-bayan mein ulajh gae
shirin labon ko bhul gae
ye ishq kahan le jaega
sadiyon ki thakan se jit ke bhi
ek pal ki nirasha sah na sake
sagar pine ka dawa hai
do ashk bahe bin rah na sake
ye ishq kahan le jaega
le gaya jahan le jaana tha
kuchh KHas maze ki jagah nahin
jis ki KHatir dil ko toDen
mar jaen ye wo wajh nahin
ye ishq kahan le jaega
hasti ke aur bhi muddaa hain
hansne ke bahane aur bhi hain
KHwahish ke dariche hain har su
aur gham ke fasane aur bhi hain
ye ishq kahan le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.