ye jaDe ke din
ye jaaḌe ke din aur ye jāḌoñ kī rāteñ
lihāf aur sūTar kī har ghar meñ bāteñ
idhar koī oḌhe hue hai do-shāla
kisī ne udhar apnā kambal sambhālā
añgeThī kahīñ hai kahīñ hai razā.ī
machī har taraf sardiyoñ kī duhā.ī
kuchh is tarah chaltī haiñ ThanDī havā.eñ
ki sardī se sīnoñ meñ dil kaañp jaa.eñ
ajab tarah ThiThurā huā hai zamāna
maza kyoñ na aise meñ de garm khānā
baḌā zor apnā dikhātī hai sardī
zamāne ko aa kar satātī hai sardī
ye jaDe ke din aur ye jaDon ki raaten
lihaf aur suTar ki har ghar mein baaten
idhar koi oDhe hue hai do-shaala
kisi ne udhar apna kambal sambhaala
angeThi kahin hai kahin hai razai
machi har taraf sardiyon ki duhai
kuchh is tarah chalti hain ThanDi hawaen
ki sardi se sinon mein dil kanp jaen
ajab tarah ThiThura hua hai zamana
maza kyon na aise mein de garm khana
baDa zor apna dikhati hai sardi
zamane ko aa kar satati hai sardi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.