ye jhuki-jhuki si nazar sanam
ye jhukī-jhukī sī nazar sanam ye savāl hai ki javāb hai
jise aaj tak na maiñ paḌh sakā tirā chehra aisī kitāb hai
tū nazar na aa.e sanam agar to taḌap uTheñ ye dil-o-jigar
tirī justujū meñ mirī nazar phire be-qarār Dagar-Dagar
ki firāq meñ tire ek pal mujhe saañs lenā 'azāb hai
ye jhukī-jhukī sī nazar sanam ye savāl hai ki javāb hai
tirī aañkh nam na kabhī bhī ho tujhe koī ġham na kabhī bhī ho
tire husn kā jo jamāl hai mirī jaan kam na kabhī bhī ho
ki rahe sadā hī khilā-khilā tire gaal par jo gulāb hai
ye jhukī-jhukī sī nazar sanam ye savāl hai ki javāb hai
na to be-ruḳhī se yuuñ pesh aa na to be-sabab mirā dil dukhā
baḌī jān-levā haiñ dūriyāñ mire paas aa mire paas aa
yuuñ gañvā na ai mirī dil-rubā ye jo chaar din kā shabāb hai
ye jhukī-jhukī sī nazar sanam ye savāl hai ki javāb hai
ye jhuki-jhuki si nazar sanam ye sawal hai ki jawab hai
jise aaj tak na main paDh saka tera chehra aisi kitab hai
tu nazar na aae sanam agar to taDap uThen ye dil-o-jigar
teri justuju mein meri nazar phire be-qarar Dagar-Dagar
ki firaq mein tere ek pal mujhe sans lena 'azab hai
ye jhuki-jhuki si nazar sanam ye sawal hai ki jawab hai
teri aankh nam na kabhi bhi ho tujhe koi gham na kabhi bhi ho
tere husn ka jo jamal hai meri jaan kam na kabhi bhi ho
ki rahe sada hi khila-khila tere gal par jo gulab hai
ye jhuki-jhuki si nazar sanam ye sawal hai ki jawab hai
na to be-ruKHi se yun pesh aa na to be-sabab mera dil dukha
baDi jaan-lewa hain duriyan mere pas aa mere pas aa
yun ganwa na ai meri dil-ruba ye jo chaar din ka shabab hai
ye jhuki-jhuki si nazar sanam ye sawal hai ki jawab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.