ye jo tanhai
ye jo tanhā.ī hai shāyad mirī tanhā.ī na ho
gūñjnā ho na samā.at meñ sukūt
aur shab-o-roz kī na.ash
merī dahlīz pe ayyām ne dafnā.ī na ho
anginat phuul hī khilte hoñ
ik shajar molrī kā ho kahīñ jis ke tale
yaar aġhyār gale milte hoñ
aan pahuñche hoñ ḳhushī ke mausam
raah takte hoñ mirī
aur mujh tak kisī baa.is ye ḳhabar aa.ī na ho
ho ke ḳhush hañste hue ahbāb tamām
bhejte hoñ mujhe kab se paiġhām
DhūñDte hoñ mujhe betābāna
raah takte hoñ mirī
aur mujh tak kisī baa.is ye ḳhabar aa.ī na ho
ye jo tanhai hai shayad meri tanhai na ho
gunjna ho na samaat mein sukut
aur shab-o-roz ki nash
meri dahliz pe ayyam ne dafnai na ho
anginat phul hi khilte hon
ek shajar molri ka ho kahin jis ke tale
yar aghyar gale milte hon
aan pahunche hon KHushi ke mausam
rah takte hon meri
aur mujh tak kisi bais ye KHabar aai na ho
ho ke KHush hanste hue ahbab tamam
bhejte hon mujhe kab se paigham
DhunDte hon mujhe betabana
rah takte hon meri
aur mujh tak kisi bais ye KHabar aai na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.