ye kaenat ruke
kahīñ ek nuqte pe
phaile hue āsmāñ ke Thahar jaa.e sūraj
kisī ek goshe meñ
tārīk ġhāroñ ke rū-posh ho jaa.e
qāsid siyah-rāt kā
chaman meñ har ik samt
kaliyāñ laboñ ko rakheñ vā
magar koī shabnam kā qatra
na un meñ gire
ye mumkin huā hai na ab tak magar
zamīñ apne mehvar pe gardish lagātī rahī hai
kahin ek nuqte pe
phaile hue aasman ke Thahar jae suraj
kisi ek goshe mein
tarik ghaaron ke ru-posh ho jae
qasid siyah-raat ka
chaman mein har ek samt
kaliyan labon ko rakhen wa
magar koi shabnam ka qatra
na un mein gire
ye mumkin hua hai na ab tak magar
zamin apne mehwar pe gardish lagati rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.