ye kahan jaenge
Interesting Fact
(Paris, 27th October, 1985)
mo.ajiza thā ajab
āhanī chanchanāhaT se zanjīr ḳhud apne qadmoñ meñ aa kar girī
bhārī-bharkam dahāne khule
aur charḳh chuuñ kī fariyād ke saath
paTrī par Dabbe sarakne lage
sub.h kī dūdhiyā chhāñv meñ
aañkh malte hue sab ye hairat-zada dekhte the
koī khīñchne vaalā engine na thā
aur tarā.ī utartī ga.ī
un kī raftār baḌhtī ga.ī
ḳhār-o-ḳhas ko kuchaltī huī
tez se tez-tar
tez tar tez-tar
ab ye paTrī jahāñ un ko le jaa.e
jā.eñge
ab ye musāfir
jo is fazl-e-rabbī pe nāzāñ the
hairāñ haiñ
mashkūk nazroñ se
ik dūsre se gurezāñ se
vahmoñ ko dil meñ chhupā.e hue
tez raftār baḌhte chale jā.eñge
ye kahāñ jā.eñge
moajiza tha ajab
aahani chanchanahaT se zanjir KHud apne qadmon mein aa kar giri
bhaari-bharkam dahane khule
aur charKH chun ki fariyaad ke sath
paTri par Dabbe sarakne lage
subh ki dudhiya chhanw mein
aankh malte hue sab ye hairat-zada dekhte the
koi khinchne wala engine na tha
aur tarai utarti gai
un ki raftar baDhti gai
KHar-o-KHas ko kuchalti hui
tez se tez-tar
tez tar tez-tar
ab ye paTri jahan un ko le jae
jaenge
ab ye musafir
jo is fazl-e-rabbi pe nazan the
hairan hain
mashkuk nazron se
ek dusre se gurezan se
wahmon ko dil mein chhupae hue
tez raftar baDhte chale jaenge
ye kahan jaenge
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 62)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.