ye kaisi ghaDi hai
ye kaisī ghaḌī hai
zamānī tasalsul kā pahiya ghumā kar
yahāñ vaqt ko
jaise fitrat se kaaTā gayā hai
ḳhalījeñ jo rakhī ga.iiñ
nūr-o-zulmat ke mābain
in sab ko paaTā gayā hai
samay raat kā hai
magar dhuup
sūraj se le kar ijāzat
hamāre sirhāne khaḌī hai
ye kaisī ghaḌī hai
ye kaisī ghaḌī hai
ki jaise hamāre sirhāne kā
bilkul hamārī hī taqvīm kā
aur hamāre zamāne kā
ik taaq hai
jis pe koī muqaddas sahīfa nahīñ
ik riyā-kār mash.al dharī hai
musaffā surāhī meñ
aab samāvī nahīñ
reg-e-isyāñ bharī hai
bahishtī daraḳhtoñ ke
paak aur ras asmār meñ
koī nok-e-najāsat gaḌī hai
ḳhudāyā
tire nek bandoñ pe
uftād kaisī paḌī hai
ye kaisī ghaḌī hai
ye kaisi ghaDi hai
zamani tasalsul ka pahiya ghuma kar
yahan waqt ko
jaise fitrat se kaTa gaya hai
KHalijen jo rakhi gain
nur-o-zulmat ke mabain
in sab ko paTa gaya hai
samay raat ka hai
magar dhup
suraj se le kar ijazat
hamare sirhane khaDi hai
ye kaisi ghaDi hai
ye kaisi ghaDi hai
ki jaise hamare sirhane ka
bilkul hamari hi taqwim ka
aur hamare zamane ka
ek taq hai
jis pe koi muqaddas sahifa nahin
ek riya-kar mashal dhari hai
musaffa surahi mein
aab samawi nahin
reg-e-isyan bhari hai
bahishti daraKHton ke
pak aur ras asmar mein
koi nok-e-najasat gaDi hai
KHudaya
tere nek bandon pe
uftad kaisi paDi hai
ye kaisi ghaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.