ye kaisi KHalish hai
manoñ miTTī ke nīche dab ke
murda jism kā kyā hashr hotā hai
ba-ḳhūbī jāntā huuñ maiñ
sabhī kuchh ḳhaak ho jaatā hai
kuchh din meñ
ye sab kuchh jaan kar bhī
jaane ye kaisī ḳhalish hai
jo mujhe aksar
tire marqad pe laatī hai
kabhī nam-dīda kartī hai
kabhī Dhāras bañdhātī hai
kabhī yādoñ ke us rañgīn mahal meñ le ke jaatī hai
jahāñ par husn hai ra.anā.ī hai dilkash tarannum hai
jahāñ ek pur-kashish chehre pe sehar-āgīñ tabassum hai
jahāñ par narm lahje meñ hai mahv-e-guftugū koī
jahāñ par ek jahān-e-rañg-o-bū hai
yakāyak chauñk uThtā huuñ
ḳhayāloñ kī hasīñ duniyā se maiñ bāhar nikaltā huuñ
to phir ḳhud ko usī sahrā meñ paatā huuñ
jahāñ phailī kitābeñ haiñ
jahāñ bikhre rasā.il haiñ
jahāñ par har taraf tanhā.ī ke aaseb meñ
lipTī huī gahrī ḳhamoshī hai
manon miTTi ke niche dab ke
murda jism ka kya hashr hota hai
ba-KHubi jaanta hun main
sabhi kuchh KHak ho jata hai
kuchh din mein
ye sab kuchh jaan kar bhi
jaane ye kaisi KHalish hai
jo mujhe aksar
tere marqad pe lati hai
kabhi nam-dida karti hai
kabhi Dhaaras bandhati hai
kabhi yaadon ke us rangin mahal mein le ke jati hai
jahan par husn hai ranai hai dilkash tarannum hai
jahan ek pur-kashish chehre pe sehar-agin tabassum hai
jahan par narm lahje mein hai mahw-e-guftugu koi
jahan par ek jahan-e-rang-o-bu hai
yakayak chaunk uThta hun
KHayalon ki hasin duniya se main bahar nikalta hun
to phir KHud ko usi sahra mein pata hun
jahan phaili kitaben hain
jahan bikhre rasail hain
jahan par har taraf tanhai ke aaseb mein
lipTi hui gahri KHamoshi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.