ye kaisi rut aa gai junun ki
maiñ apnī biivī se baat karte
nape tule lafz boltā huuñ
maiñ apne daftar meñ sāthiyoñ se
likhī huī baat boltā huuñ
maiñ apne laḳht-e-jigar se aksar
nazar milāne se kāñptā huuñ
ye kaisī fasl-e-bahār aa.ī
sabā se ḳhushbū Darī huī hai
ye kaisī rut aa ga.ī junūñ kī
nasīm gulchīñ se mil ga.ī hai
main apni biwi se baat karte
nape tule lafz bolta hun
main apne daftar mein sathiyon se
likhi hui baat bolta hun
main apne laKHt-e-jigar se aksar
nazar milane se kanpta hun
ye kaisi fasl-e-bahaar aai
saba se KHushbu Dari hui hai
ye kaisi rut aa gai junun ki
nasim gulchin se mil gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.