ye kaun uTha hai sharmata
ye kaun uThā hai sharmātā
rain kā jaagā niiñd kā maatā
niiñd kā maatā dhuum machātā
añgḌā.ī letā bal khātā
ye kaun uThā hai sharmātā
ruḳh pe surḳhī aañkh meñ jaadū
bhīnī bhīnī bar meñ ḳhushbū
bāñkī chitvan simTe abrū
nīchī nazreñ bikhre gesū
ye kaun uThā hai sharmātā
niiñd kī lahreñ gañgā jamnī
jild ke nīche halkī halkī
āñchal Dhalkā maskī saarī
halkī mehñdī dhundlī biñdī
ye kaun uThā hai sharmātā
Duubā huā ruḳh tābānī meñ
anvār-e-sahar peshānī meñ
yā āb-e-guhar tuġhyānī meñ
yā chāñd kā mukhḌā paanī meñ
ye kaun uThā hai sharmātā
ruḳhsār pe mauj-e-rañgīnī
kachchī chāñdī sachchī chīnī
āñkhoñ meñ nuqūsh-e-ḳhud-bīnī
mukhḌe pe sahar kī shīrīnī
ye kaun uThā hai sharmātā
aañkh meñ ġhaltāñ ishrat-gāheñ
niiñd kī sāñseñ jaise aaheñ
bikhrī zulfeñ uryāñ bāñheñ
jaan se māreñ jis ko chāheñ
ye kaun uThā hai sharmātā
phailā phailā aañkh meñ kājal
uljhā uljhā zulf kā bādal
nāzuk gardan phuul sī haikal
surḳh papoTe niiñd se bojhal
ye kaun uThā hai sharmātā
kuchh jaag rahī kuchh sotī hai
har mauj-e-sabā muñh dhotī hai
nā-shushta ruḳh yā motī hai
añgḌā.ī se jiz-biz hotī hai
ye kaun uThā hai sharmātā
chehra phīkā niiñd ke maare
phīke pan meñ shahd ke dhāre
jo bhī dekhe jaan ko vaare
dhartī maatā bojh sahāre
ye kaun uThā hai sharmātā
halchal meñ dil kī bastī hai
tūfān-e-junūñ meñ hastī hai
aañkh meñ shab kī mastī hai
aur mastī dil ko Dastī hai
ye kaun uThā hai sharmātā
ye kaun uTha hai sharmata
rain ka jaga nind ka mata
nind ka mata dhum machata
angDai leta bal khata
ye kaun uTha hai sharmata
ruKH pe surKHi aankh mein jadu
bhini bhini bar mein KHushbu
banki chitwan simTe abru
nichi nazren bikhre gesu
ye kaun uTha hai sharmata
nind ki lahren ganga jamni
jild ke niche halki halki
aanchal Dhalka maski sari
halki mehndi dhundli bindi
ye kaun uTha hai sharmata
Duba hua ruKH tabani mein
anwar-e-sahar peshani mein
ya aab-e-guhar tughyani mein
ya chand ka mukhDa pani mein
ye kaun uTha hai sharmata
ruKHsar pe mauj-e-rangini
kachchi chandi sachchi chini
aankhon mein nuqush-e-KHud-bini
mukhDe pe sahar ki shirini
ye kaun uTha hai sharmata
aankh mein ghaltan ishrat-gahen
nind ki sansen jaise aahen
bikhri zulfen uryan banhen
jaan se maren jis ko chahen
ye kaun uTha hai sharmata
phaila phaila aankh mein kajal
uljha uljha zulf ka baadal
nazuk gardan phul si haikal
surKH papoTe nind se bojhal
ye kaun uTha hai sharmata
kuchh jag rahi kuchh soti hai
har mauj-e-saba munh dhoti hai
na-shushta ruKH ya moti hai
angDai se jiz-biz hoti hai
ye kaun uTha hai sharmata
chehra phika nind ke mare
phike pan mein shahd ke dhaare
jo bhi dekhe jaan ko ware
dharti mata bojh sahaare
ye kaun uTha hai sharmata
halchal mein dil ki basti hai
tufan-e-junun mein hasti hai
aankh mein shab ki masti hai
aur masti dil ko Dasti hai
ye kaun uTha hai sharmata
- Book : Kulliyat-e-Josh Maleeh aabadi (Pg. 160)
- Author : Dr. Asmat Maleeh Abadi
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.