ye KHala pur na hua
zehan ḳhālī hai
ḳhalā nuur se yā naġhme se
yā nik.hat-e-gum-rāh se bhī
pur na huā
zehan ḳhālī hī rahā
ye ḳhalā harf-e-tasallī se
tabassum se
kisī aah se pur na huā
ik nafī larzish-e-paiham meñ sahī
johd-e-be-kār ke mātam meñ sahī
ham jo nāras bhī haiñ ġham-dīda bhī haiñ
is ḳhalā ko
(isī dahlīz pe so.e hue
sarmast gadā ke mānind)
kasī mīnār kī tasvīr se
yā rañg kī jhankār se
yā ḳhvāboñ kī ḳhushbuoñ se
pur kyuuñ na kareñ?
ki ajal ham se bahut duur
bahut duur rahe?
nahīñ ham jānte haiñ
ham jo nāras bhī haiñ ġham-dīda bhī haiñ
jānte haiñ ki ḳhalā hai vo jise maut nahīñ
kas liye nuur se yā naġhme se
yā harf-e-tasallī se ise ''jism'' banā.eñ
aur phir maut kī vārafta pazīrā.ī kareñ?
na.e hañgāmoñ kī tajlīl kā dar baaz kareñ
sub.h-e-takmīl kā āġhāz kareñ?
zehan KHali hai
KHala nur se ya naghme se
ya nikhat-e-gum-rah se bhi
pur na hua
zehan KHali hi raha
ye KHala harf-e-tasalli se
tabassum se
kisi aah se pur na hua
ek nafi larzish-e-paiham mein sahi
johd-e-be-kar ke matam mein sahi
hum jo naras bhi hain gham-dida bhi hain
is KHala ko
(isi dahliz pe soe hue
sarmast gada ke manind)
kasi minar ki taswir se
ya rang ki jhankar se
ya KHwabon ki KHushbuon se
pur kyun na karen?
ki ajal hum se bahut dur
bahut dur rahe?
nahin hum jaante hain
hum jo naras bhi hain gham-dida bhi hain
jaante hain ki KHala hai wo jise maut nahin
kas liye nur se ya naghme se
ya harf-e-tasalli se ise jism banaen
aur phir maut ki warafta pazirai karen?
nae hangamon ki tajlil ka dar baz karen
subh-e-takmil ka aaghaz karen?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.