ye kis ki sazish hai
ye kis kī sāzish hai
kis kā ḳhuun hai
ye kaun āmāda-e-junūñ hai
ye kaun aag aur ḳhuun kī holī jalā rahā hai
ye kaun tīroñ se kheltā hai
ye kaun ḳhanjar-ba-kaf
uḳhuvvat kā jism-e-nāzuk kuchal rahā hai
humaktī ma.asūmiyat ko nezoñ se chhedatā hai
laraztī insāniyat ke ḳheme jalā rahā hai
ki āsmāñ se muhīb sho.ale baras rahe haiñ
havā.eñ masmūm ho ga.ī haiñ
fazāoñ se ḳhuuñ Tapak rahā hai
zamīn kī chhātī ko chiir kar
nafratoñ kā laavā ubal paḌā hai
har ek zī-rūh ke badan par
ik an-kahe ḳhauf kī ridā hai
munāfiqat kī barahnagī kaise harf-e-āġhāz ban ga.ī hai
adū-e-dānish ko kis jafā-kār maslahat ne
kalīd-e-dānish sipurd kī hai
adū-e-insāniyat ko kin chīra-dastiyoñ ne
hukūmat-e-kurra-e-zamīñ sauñp dī hai jis ne
binā-e-tahzīb rauñd Daalī
ki rū-e-hastī se aks-e-tahzīb kī daraḳhshāñ matā.a kā nuur miT rahā hai
shabān-e-dījūr kī siyāhī umaD rahī hai
vo tīrgī hai har ek jūyā-e-haq se
tanvīr-e-ilm-o-irfāñ kināra-kash hai
ye kis ki sazish hai
kis ka KHun hai
ye kaun aamada-e-junun hai
ye kaun aag aur KHun ki holi jala raha hai
ye kaun tiron se khelta hai
ye kaun KHanjar-ba-kaf
uKHuwwat ka jism-e-nazuk kuchal raha hai
humakti masumiyat ko nezon se chhedata hai
larazti insaniyat ke KHeme jala raha hai
ki aasman se muhib shoale baras rahe hain
hawaen masmum ho gai hain
fazaon se KHun Tapak raha hai
zamin ki chhati ko chir kar
nafraton ka lawa ubal paDa hai
har ek zi-ruh ke badan par
ek an-kahe KHauf ki rida hai
munafiqat ki barahnagi kaise harf-e-aghaz ban gai hai
adu-e-danish ko kis jafa-kar maslahat ne
kalid-e-danish sipurd ki hai
adu-e-insaniyat ko kin chira-dastiyon ne
hukumat-e-kurra-e-zamin saunp di hai jis ne
bina-e-tahzib raund Dali
ki ru-e-hasti se aks-e-tahzib ki daraKHshan mataa ka nur miT raha hai
shaban-e-dijur ki siyahi umaD rahi hai
wo tirgi hai har ek juya-e-haq se
tanwir-e-ilm-o-irfan kinara-kash hai
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 91)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.