ye matam-e-waqt ki ghaDi hai
Thahar ga.ī āsmāñ kī nadiyā
vo jā lagī hai ufaq kināre
udaas rañgoñ kī chāñd nayyā
utar ga.e sāhil-e-zamīñ par
sabhī khavayyā
tamām taare
ukhaḌ ga.ī saañs pattiyoñ kī
chalī ga.iiñ uuñgh meñ havā.eñ
gajar bajā hukm-e-ḳhāmushī kā
to chup meñ gum ho ga.iiñ sadā.eñ
sahar kī gorī kī chhātiyoñ se
Dhalak ga.ī tīrgī kī chādar
aur is bajā.e
bikhar ga.e us ke tan-badan par
nirās tanhā.iyoñ ke saa.e
aur us ko kuchh bhī ḳhabar nahīñ hai
kisī ko kuchh bhī ḳhabar nahīñ hai
kisī ko kuchh bhī ḳhabar nahīñ hai
ki din Dhale shahr se nikal kar
kidhar ko jaane kā ruḳh kiyā thā
na koī jāda, na koī manzil
kisī musāfir ko
ab dimāġh-e-safar nahīñ hai
ye vaqt zanjīr-e-roz-o-shab kī
kahīñ se ToTī huī kaḌī hai
ye mātam-e-vaqt kī ghaḌī hai
ye vaqt aa.e to be-irāda
kabhī kabhī maiñ bhī dekhtā huuñ
utaar kar zaat kā labāda
kahīñ siyāhī malāmatoñ kī
kaheñ pe gul-būTe ulfatoñ ke
kaheñ lakīreñ haiñ āñsuoñ kī
kaheñ pe ḳhūn-e-jigar ke dhabbe
ye chaak hai panja-e-adū kā
ye mohr hai yār-e-mehrbāñ kī
ye la.al lab-hā-e-mah-vishāñ ke
ye marhamat shaiḳh-e-bad-zabāñ kī
ye jāma-e-roz-o-shab-gazīda
mujhe ye pairāhan-e-darīda
aziiz bhii, nā-pasand bhī hai
kabhī ye farmān-e-josh-e-vahshat
ki noch kar is ko pheñk Daalo
kabhī ye isrār-e-harf-e-ulfat
ki chuum kar phir gale lagā lo
Thahar gai aasman ki nadiya
wo ja lagi hai ufaq kinare
udas rangon ki chand nayya
utar gae sahil-e-zamin par
sabhi khawayya
tamam tare
ukhaD gai sans pattiyon ki
chali gain ungh mein hawaen
gajar baja hukm-e-KHamushi ka
to chup mein gum ho gain sadaen
sahar ki gori ki chhatiyon se
Dhalak gai tirgi ki chadar
aur is bajae
bikhar gae us ke tan-badan par
niras tanhaiyon ke sae
aur us ko kuchh bhi KHabar nahin hai
kisi ko kuchh bhi KHabar nahin hai
kisi ko kuchh bhi KHabar nahin hai
ki din Dhale shahr se nikal kar
kidhar ko jaane ka ruKH kiya tha
na koi jada, na koi manzil
kisi musafir ko
ab dimagh-e-safar nahin hai
ye waqt zanjir-e-roz-o-shab ki
kahin se ToTi hui kaDi hai
ye matam-e-waqt ki ghaDi hai
ye waqt aae to be-irada
kabhi kabhi main bhi dekhta hun
utar kar zat ka labaada
kahin siyahi malamaton ki
kahen pe gul-buTe ulfaton ke
kahen lakiren hain aansuon ki
kahen pe KHun-e-jigar ke dhabbe
ye chaak hai panja-e-adu ka
ye mohr hai yar-e-mehrban ki
ye lal lab-ha-e-mah-wishan ke
ye marhamat shaiKH-e-bad-zaban ki
ye jama-e-roz-o-shab-gazida
mujhe ye pairahan-e-darida
aziz bhi, na-pasand bhi hai
kabhi ye farman-e-josh-e-wahshat
ki noch kar is ko phenk Dalo
kabhi ye israr-e-harf-e-ulfat
ki chum kar phir gale laga lo
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 640)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.