ye mera KHwab nahin
udāsī kī jhilmil jhiil ke paar
maiñ ne dekhā
tumhārī laal chūḌiyāñ sabz hañsī hañs rahī thiiñ
os kī ek qurmuzī buuñd
tumhārī peshānī par damak rahī thī
ḳhush-ḳhvābī ke nāḳhunoñ se tum
andeshoñ kī girheñ khol rahī thiiñ
chāñd kī namī se
imkān ke be-kanār panne par
kuchh likh rahī thiiñ tumhārī uñgliyāñ
aur tumhāre paañv ke nīche
dhartī kī jhāñjhan baj rahī thī
aur ye merā vahm nahīñ
ki prithvī par kahīñ jab chāñd
ek bachche ke saath dauḌ rahā thā
tum havā se apnā haath chhuḌā kar
ek sajī huī chaukhaT meñ dāḳhil
ho ga.ī thiiñ
aur ye merā ḳhvāb nahīñ
ki sūraj jab
aadhe āsmān meñ chamak rahā thā
apnī chūḌiyāñ apnī bundī
apne andeshe apnī uñgliyāñ
apne haath aur apne hoñT
sab utaar kar
tum ne
aañkh se aañkh jalā.ī thī
jaltī battī bujhā.ī thī
udasi ki jhilmil jhil ke par
main ne dekha
tumhaari lal chuDiyan sabz hansi hans rahi thin
os ki ek qurmuzi bund
tumhaari peshani par damak rahi thi
KHush-KHwabi ke naKHunon se tum
andeshon ki girhen khol rahi thin
chand ki nami se
imkan ke be-kanar panne par
kuchh likh rahi thin tumhaari ungliyan
aur tumhaare panw ke niche
dharti ki jhanjhan baj rahi thi
aur ye mera wahm nahin
ki prithwi par kahin jab chand
ek bachche ke sath dauD raha tha
tum hawa se apna hath chhuDa kar
ek saji hui chaukhaT mein daKHil
ho gai thin
aur ye mera KHwab nahin
ki suraj jab
aadhe aasman mein chamak raha tha
apni chuDiyan apni bundi
apne andeshe apni ungliyan
apne hath aur apne honT
sab utar kar
tum ne
aankh se aankh jalai thi
jalti batti bujhai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.