ye meri ghazlen ye meri nazmen
ye merī ġhazleñ ye merī nazmeñ
tamām terī hikāyateñ haiñ
ye tazkire tere lutf ke haiñ
ye sher terī shikāyateñ haiñ
maiñ sab tirī nazr kar rahā huuñ
ye un zamānoñ kī sā.ateñ haiñ
jo zindagī ke na.e safar meñ
tujhe kisī vaqt yaad aa.eñ
to ek ik harf jī uThegā
pahan ke anfās kī qabā.eñ
udaas tanhā.iyoñ ke lamhoñ
meñ naach uTTheñgī ye apsarā.eñ
mujhe tire dard ke alāva bhī
aur dukh the ye māntā huuñ
hazār ġham the jo zindagī kī
talāsh meñ the ye jāntā huuñ
mujhe ḳhabar thī ki tere āñchal meñ
dard kī ret chhāntā huuñ
magar har ik baar tujh ko chhū kar
ye ret rañg-e-hinā banī hai
ye zaḳhm gulzār ban ga.e haiñ
ye āh-e-sozāñ ghaTā banī hai
ye dard mauj-e-sabā huā hai
ye aag dil kī sadā banī hai
aur ab ye saarī matā-e-hastī
ye phuul ye zaḳhm sab tire haiñ
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naġhme
jo kal mire the vo ab tire haiñ
jo terī qurbat tirī judā.ī
meñ kaT ga.e roz-o-shab tire haiñ
vo terā shā.ir tirā muġhannī
vo jis kī bāteñ ajiib sī thiiñ
vo jis ke andāz ḳhusravāna the
aur adā.eñ ġharīb sī thiiñ
vo jis ke jiine kī ḳhvāhisheñ bhī
ḳhud us ke apne nasīb sī thiiñ
na pūchh is kā ki vo divāna
bahut dinoñ kā ujaḌ chukā hai
vo kohkan to nahīñ thā lekin
kaḌī chaTānoñ se laḌ chukā hai
vo thak chukā thā aur us kā tesha
usī ke siine meñ gaḌ chukā hai
ye meri ghazlen ye meri nazmen
tamam teri hikayaten hain
ye tazkire tere lutf ke hain
ye sher teri shikayaten hain
main sab teri nazr kar raha hun
ye un zamanon ki saaten hain
jo zindagi ke nae safar mein
tujhe kisi waqt yaad aaen
to ek ek harf ji uThega
pahan ke anfas ki qabaen
udas tanhaiyon ke lamhon
mein nach uTThengi ye apsaraen
mujhe tere dard ke alawa bhi
aur dukh the ye manta hun
hazar gham the jo zindagi ki
talash mein the ye jaanta hun
mujhe KHabar thi ki tere aanchal mein
dard ki ret chhanta hun
magar har ek bar tujh ko chhu kar
ye ret rang-e-hina bani hai
ye zaKHm gulzar ban gae hain
ye aah-e-sozan ghaTa bani hai
ye dard mauj-e-saba hua hai
ye aag dil ki sada bani hai
aur ab ye sari mata-e-hasti
ye phul ye zaKHm sab tere hain
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naghme
jo kal mere the wo ab tere hain
jo teri qurbat teri judai
mein kaT gae roz-o-shab tere hain
wo tera shair tera mughanni
wo jis ki baaten ajib si thin
wo jis ke andaz KHusrawana the
aur adaen gharib si thin
wo jis ke jine ki KHwahishen bhi
KHud us ke apne nasib si thin
na puchh is ka ki wo diwana
bahut dinon ka ujaD chuka hai
wo kohkan to nahin tha lekin
kaDi chaTanon se laD chuka hai
wo thak chuka tha aur us ka tesha
usi ke sine mein gaD chuka hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 172)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.