ye parda bhi uTha dena tha
jo bujhā.e na bujhe aur bhaḌaktī jaa.e
mere siine meñ vahī aag lagā denā thā
ek gum-karda-e-manzil ko mirī jān-e-hayā
tum ko ik baar bas ik baar sadā denā thā
sho.ala-e-tūr se bhī ab sard huā jaatā hai
tīrgī sīna-e-sozāñ se miTā denā thā
bazm-e-mahtāb sajā.ī ga.ī dīvānoñ se
mujh ko lekin mire ḳhvāboñ se jagā denā thā
haath rah jaate haiñ uTh uTh ke abhī tak apne
be-ḳhudī tujh ko ye parda bhī uThā denā thā
jo bujhae na bujhe aur bhaDakti jae
mere sine mein wahi aag laga dena tha
ek gum-karda-e-manzil ko meri jaan-e-haya
tum ko ek bar bas ek bar sada dena tha
shoala-e-tur se bhi ab sard hua jata hai
tirgi sina-e-sozan se miTa dena tha
bazm-e-mahtab sajai gai diwanon se
mujh ko lekin mere KHwabon se jaga dena tha
hath rah jate hain uTh uTh ke abhi tak apne
be-KHudi tujh ko ye parda bhi uTha dena tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.