ye puri kaenat
ye puurī kā.enāt
maiñ sirf tumhāre nizām-e-shamsī kī baat nahīñ kar rahā huuñ
is zaat kā ā.īna hai
jo ek lafz-e-kun se aise kitne hī nizām haa.e shams ḳhalq kar saktī hai
aur ā.īna
kabhī kizb-bayānī se kaam nahīñ letā
tum
jo nafs-e-ammāra ke ā.īne se dekhne ke aadī ho
kabhī ḳhud ko nafs-e-mutma.inna ke darpan meñ nahīñ dekhte
agar tum dekh sako
to
qudrat kī ne.amateñ tumheñ kabhī sajda-e-shukr se uThne na deñ
sadaf
samundar se alag ho kar motī paidā nahīñ kar saktā
aur bahr-e-sadāqat meñ utre baġhair tum
zindagī ke sadaf se gauhar-e-nashāt hāsil nahīñ kar sakte
ye puri kaenat
main sirf tumhaare nizam-e-shamsi ki baat nahin kar raha hun
is zat ka aaina hai
jo ek lafz-e-kun se aise kitne hi nizam hae shams KHalq kar sakti hai
aur aaina
kabhi kizb-bayani se kaam nahin leta
tum
jo nafs-e-ammara ke aaine se dekhne ke aadi ho
kabhi KHud ko nafs-e-mutmainna ke darpan mein nahin dekhte
agar tum dekh sako
to
qudrat ki neamaten tumhein kabhi sajda-e-shukr se uThne na den
sadaf
samundar se alag ho kar moti paida nahin kar sakta
aur bahr-e-sadaqat mein utre baghair tum
zindagi ke sadaf se gauhar-e-nashat hasil nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.