ye raat aur din
ye raat aur din
bharī dopahar
ye shām-o-sahar
inheñ dekh kar
mujhe aisā lagtā hai
maiñ jī rahā huuñ
magar koī hai jo
kabhī raat ko
kabhī dopahar meñ
kabhī shaam ko
kabhī muñh-añdhere
mire kaan meñ
hiqārat se kahtā hai
tū mar rahā hai
ye raat aur din
bhari dopahar
ye sham-o-sahar
inhen dekh kar
mujhe aisa lagta hai
main ji raha hun
magar koi hai jo
kabhi raat ko
kabhi dopahar mein
kabhi sham ko
kabhi munh-andhere
mere kan mein
hiqarat se kahta hai
tu mar raha hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 145)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.