ye raat hogi tawil kitni
ye raat hogī tavīl kitnī
buland hogī fasīl kitnī
ye ḳhauf-o-dahshat kā daur-daura
rahegā kab tak
galī galī kūcha kūcha pahra
rahegā kab tak
ye aag jañgal kī aag kab tak
falak se barsegī raakh kab tak
sitāre TūTeñge aur kab tak
yuuñ āsmāñ se
parind rūTheñge āshiyāñ se
ye phūl-patte havā.eñ shabnam
kareñge kis kis kā aur mātam
siyāh pur-haul āñdhiyoñ kā ye mauj mela
rahegā kab tak
muqāble meñ shajar akelā
kaḌaktī bechain bijliyoñ kā
zamīñ kī jānib safar kabhī to tamām hogā
phireñge dhartī ke din yaqīnan
kabhī to bandoñ pe lutf-e-rabb-e-anām hogā
hasīn titlī ke narm-o-nāzuk paroñ kī jumbish
dhanak ke ḳhush-dīda rañg har-sū
bikher degī
kabhī to bād-e-nasīm ḳhushbū bikher degī
mujhe yaqīñ hai ki kal ke sūraj kī muskurāhaT
zamīñ ke mahrūm bāsiyoñ ko
na.ī sahar kā payām degī
laboñ ko izn-e-kalām degī
mujhe yaqīñ hai vo din bhī aa.egā
jab urūs-e-chaman ke qadmoñ kī dhīmī aahaT sunā.ī degī
bahār lamhoñ kī gungunāhaT sunā.ī degī
tuyūr chahkeñge bāliyoñ par
gulāb mahkeñge Dāliyoñ par
kabhī to dekhegā sar uThā kar
chaman meñ nanhā sā koī paudā
kabhī to jhāñkegā bādaloñ kā haTā ke ghuñghaT
kahīñ ye chhoTā sā ik sitārā
kabhī to niklegā chāñd puurā
ye ghar ye āñgan chamak uThegā
har ek chehra damak uThegā
mujhe yaqīñ hai
kabhī to utregā āsmāñ se koī farishta
paḌhegā chehre pe jo likhā hai
sunegā vo bhī jo ham ne ab tak nahīñ kahā hai
siyāh rātoñ kī tīrgī kā
tavīl be-kaif zindagī kā
koī to aa kar hisāb degā
hamārī āñkhoñ meñ ḳhaar ban kar
jo chubh rahe haiñ savāl un kā
javāb degā
ye raat hogi tawil kitni
buland hogi fasil kitni
ye KHauf-o-dahshat ka daur-daura
rahega kab tak
gali gali kucha kucha pahra
rahega kab tak
ye aag jangal ki aag kab tak
falak se barsegi rakh kab tak
sitare TuTenge aur kab tak
yun aasman se
parind ruThenge aashiyan se
ye phul-patte hawaen shabnam
karenge kis kis ka aur matam
siyah pur-haul aandhiyon ka ye mauj mela
rahega kab tak
muqable mein shajar akela
kaDakti bechain bijliyon ka
zamin ki jaanib safar kabhi to tamam hoga
phirenge dharti ke din yaqinan
kabhi to bandon pe lutf-e-rabb-e-anam hoga
hasin titli ke narm-o-nazuk paron ki jumbish
dhanak ke KHush-dida rang har-su
bikher degi
kabhi to baad-e-nasim KHushbu bikher degi
mujhe yaqin hai ki kal ke suraj ki muskurahaT
zamin ke mahrum basiyon ko
nai sahar ka payam degi
labon ko izn-e-kalam degi
mujhe yaqin hai wo din bhi aaega
jab urus-e-chaman ke qadmon ki dhimi aahaT sunai degi
bahaar lamhon ki gungunahaT sunai degi
tuyur chahkenge baaliyon par
gulab mahkenge Daliyon par
kabhi to dekhega sar uTha kar
chaman mein nanha sa koi pauda
kabhi to jhankega baadalon ka haTa ke ghunghaT
kahin ye chhoTa sa ek sitara
kabhi to niklega chand pura
ye ghar ye aangan chamak uThega
har ek chehra damak uThega
mujhe yaqin hai
kabhi to utrega aasman se koi farishta
paDhega chehre pe jo likha hai
sunega wo bhi jo hum ne ab tak nahin kaha hai
siyah raaton ki tirgi ka
tawil be-kaif zindagi ka
koi to aa kar hisab dega
hamari aankhon mein KHar ban kar
jo chubh rahe hain sawal un ka
jawab dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.