ye raat
ye raat hai yā hayāt hai pul-e-sirāt hai
añdhere meñ lamhoñ kī tez dhaar par chale hue
halkī aañkh malte hue
lahūluhān qadam
lekin kaT kar girte haiñ nahīñ
karte bhī nahīñ
zaḳhmī pair liye abhī aur kitnī duur chalnā hai
ma.alūm nahīñ
is rāste kī sarhad
hamesha nazdīk dikhā.ī detī hai
lekin nazdīk pahuñchte hī ma.adūm ho jaatī hai
aur ham ek aur rāsta
ek aur rahguzār ubhar aatī hai
shāyad yahī manzil bhī hai aur yahī rāsta bhī hai
shāyad yahī is zindagī kā sāhil bhī hai
ki ham chalte raheñ
ḳhāmosh yā phir chillāte yā gaate hue
ḳhud apne aap ko koī giit koī naġhma
sunāte hue
gaane vaale bhī ham sunñe vaale bhī ham
hamārī duā.eñ bhī thī
hamārī zabān se nikal kar hamāre
dil tak hī jaatī haiñ
dil agar sun le to duāoñ meñ asar aa jaatā hai
na sune to ham haath uupar uThā kar nīche girāte rahte haiñ
aur rote rahte haiñ
is raat ke añdhiyāre meñ
khile hue zaḳhmoñ ke phuul bhī hamāre
hamārī aahoñ ke kāñTe bhī hamāre
ham tumhāre tum bhī hamāre
ḳhushiyāñ bhī apnī ġham bhī hamāre
is phuul aur dhuul se nikal jaane ke ba.ad
pul-e-sirāt se phisal jaane ke ba.ad
taqdīr sambhal jaane ke ba.ad
jab aañkh khulegī
to koī phūloñ kī biich hamārī muntazir na hogī
hamārī nīndoñ meñ
koī hañstā huā ḳhvāb nahīñ aa.egā
hamāre hāthoñ meñ koī gulāb nahīñ aa.egā
hamāre sāmne koī bām-e-sharāb
aur bāñhoñ meñ koī shahāb nahīñ aa.egā
aa.egā to
ik muhīb sannāTā
ik lambī ḳhāmoshī
ik na sunā.ī dene vaalī āvāz
ik na dikhā.ī dene vaalā ḳhalā
jis meñ na ham haiñ
na hamārā saaya hogā
na hone kā ilm
na hone kā ehsās
ek aisā lambā pul
jis kī kahānī ham apne dūsre shahr meñ bhī
sunā na pā.eñge
ham vahāñ se lauT kar
dobāra yahāñ aa na pā.eñge
ye raat hai ya hayat hai pul-e-siraat hai
andhere mein lamhon ki tez dhaar par chale hue
halki aankh malte hue
lahuluhan qadam
lekin kaT kar girte hain nahin
karte bhi nahin
zaKHmi pair liye abhi aur kitni dur chalna hai
malum nahin
is raste ki sarhad
hamesha nazdik dikhai deti hai
lekin nazdik pahunchte hi madum ho jati hai
aur hum ek aur rasta
ek aur rahguzar ubhar aati hai
shayad yahi manzil bhi hai aur yahi rasta bhi hai
shayad yahi is zindagi ka sahil bhi hai
ki hum chalte rahen
KHamosh ya phir chillate ya gate hue
KHud apne aap ko koi git koi naghma
sunate hue
gane wale bhi hum sunne wale bhi hum
hamari duaen bhi thi
hamari zaban se nikal kar hamare
dil tak hi jati hain
dil agar sun le to duaon mein asar aa jata hai
na sune to hum hath upar uTha kar niche giraate rahte hain
aur rote rahte hain
is raat ke andhiyare mein
khile hue zaKHmon ke phul bhi hamare
hamari aahon ke kanTe bhi hamare
hum tumhaare tum bhi hamare
KHushiyan bhi apni gham bhi hamare
is phul aur dhul se nikal jaane ke baad
pul-e-siraat se phisal jaane ke baad
taqdir sambhal jaane ke baad
jab aankh khulegi
to koi phulon ki bich hamari muntazir na hogi
hamari nindon mein
koi hansta hua KHwab nahin aaega
hamare hathon mein koi gulab nahin aaega
hamare samne koi baam-e-sharab
aur banhon mein koi shahab nahin aaega
aaega to
ek muhib sannaTa
ek lambi KHamoshi
ek na sunai dene wali aawaz
ek na dikhai dene wala KHala
jis mein na hum hain
na hamara saya hoga
na hone ka ilm
na hone ka ehsas
ek aisa lamba pul
jis ki kahani hum apne dusre shahr mein bhi
suna na paenge
hum wahan se lauT kar
dobara yahan aa na paenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.