ye reshmi sa hasin bandhan
ye reshmī sā hasīn bandhan
jo sab gavāhoñ kī hāzirī meñ raqam huā thā
ḳhudā hī jaane kahāñ kahāñ se rafū kiyā hai
ye reshmī sā gudāz bandhan
ye jab bhī uljhā
to ḳhārzāroñ kī dhajjiyoñ se ise siyā hai
rafū-garī kā har ek Tāñkā gavāh is kā
bachā rahī huuñ ye reshmī sā hasīn bandhan
ye reshmi sa hasin bandhan
jo sab gawahon ki haziri mein raqam hua tha
KHuda hi jaane kahan kahan se rafu kiya hai
ye reshmi sa gudaz bandhan
ye jab bhi uljha
to KHarzaron ki dhajjiyon se ise siya hai
rafu-gari ka har ek Tanka gawah is ka
bacha rahi hun ye reshmi sa hasin bandhan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.