ye sari KHudai hamare liye hai
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
nahīñ hai parā.ī hamāre liye hai
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
hameñ is ḳhudā.ī meñ hai kaam karnā
bahut kaam karnā baḌā naam karnā
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
sikhāte haiñ ye shahar ābād honā
aur aapas meñ mil-jul ke dil-shād honā
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
ye baaġh is liye haiñ ki phirne ko jaa.eñ
phaloñ aur phūloñ se ham lutf uThā.eñ
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
khule madrase haiñ ki in meñ paḌheñ ham
taraqqī ke raste pe aage baḌheñ ham
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
kiyā fat.h ham ne havā.ī fazā ko
havā.ī jahāzoñ se chīrā havā ko
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
samundar pe bhī hai hukūmat hamārī
jahāzoñ meñ hai band tāqat hamārī
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
hamīñ dam mashaqqat kā bharte haiñ jā kar
bayābān ābād karte haiñ jā kar
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
bahut umreñ mehnat meñ barbād kī haiñ
ye raileñ tab insāñ ne ījād kī haiñ
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
zamīñ is liye hai ki khetī kareñ ham
mashaqqat kareñ peT apnā bhareñ ham
ye saarī ḳhudā.ī hamāre liye hai
ye sari KHudai hamare liye hai
nahin hai parai hamare liye hai
ye sari KHudai hamare liye hai
hamein is KHudai mein hai kaam karna
bahut kaam karna baDa nam karna
ye sari KHudai hamare liye hai
sikhate hain ye shahar aabaad hona
aur aapas mein mil-jul ke dil-shad hona
ye sari KHudai hamare liye hai
ye bagh is liye hain ki phirne ko jaen
phalon aur phulon se hum lutf uThaen
ye sari KHudai hamare liye hai
khule madrase hain ki in mein paDhen hum
taraqqi ke raste pe aage baDhen hum
ye sari KHudai hamare liye hai
kiya fath hum ne hawai faza ko
hawai jahazon se chira hawa ko
ye sari KHudai hamare liye hai
samundar pe bhi hai hukumat hamari
jahazon mein hai band taqat hamari
ye sari KHudai hamare liye hai
hamin dam mashaqqat ka bharte hain ja kar
bayaban aabaad karte hain ja kar
ye sari KHudai hamare liye hai
bahut umren mehnat mein barbaad ki hain
ye railen tab insan ne ijad ki hain
ye sari KHudai hamare liye hai
zamin is liye hai ki kheti karen hum
mashaqqat karen peT apna bharen hum
ye sari KHudai hamare liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.