ye saDak
koī aage na pīchhe bahut duur tak
ek lambī saḌak
darmiyāñ meñ koī saaya chehra-ba-kaf
goyā tasvīr tajrīd māhaul kā canvas
behad-o-be-karāñ
is pe bujhtā huā raat kā ko.elā
aag kā rāz-dāñ
saare pas-manzaroñ ko sameTe hue
jo dikhā.ī nahīñ de rahā vo dhuāñ
aur saḌak jis kā koī sirā hī nahīñ
chal rahā huuñ bahut muddatoñ se yūñhī
koī aage na pīchhe bahut duur tak
koi aage na pichhe bahut dur tak
ek lambi saDak
darmiyan mein koi saya chehra-ba-kaf
goya taswir tajrid mahaul ka canwas
behad-o-be-karan
is pe bujhta hua raat ka koela
aag ka raaz-dan
sare pas-manzaron ko sameTe hue
jo dikhai nahin de raha wo dhuan
aur saDak jis ka koi sira hi nahin
chal raha hun bahut muddaton se yunhi
koi aage na pichhe bahut dur tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.