ye safar KHatm na ho
ham-safar tū ne idhar kaash na dekhā hotā
kam nigāhī ne tirī kaisī kashish chhalkā dī
munjamid ho gayā aazar kā koī ḳhvāb-e-hasīñ
kyoñ mirī jur.at-e-rindāna mujhe lauTā dī
ham-safar tū ne idhar kaash na dekhā hotā
chāñd kā ḳhvāb nigāhoñ meñ utar aaya hai
dam-ba-ḳhud ho ke kabhī hoñT dabāne ke nisār
jī meñ kuchh soch ke muskān chhupāne ke nisār
tujh se kuchh rabt nahīñ rabt kā armān nahīñ
raah meñ phir kahīñ mil jaane kā imkān nahīñ
dil kī chāhat hai yahī saath chalūñ chaltā huuñ
ye safar ḳhatm na ho rāhguzar ḳhatm na ho
mere ash.ār meñ Dhal jā ki ḳhizāñ chhū na sake
tā-abad husn tirā yūñhī tar-o-tāza rahe
aaj phir dil kā koī zaḳhm ubhar aaya hai
ham-safar tu ne idhar kash na dekha hota
kam nigahi ne teri kaisi kashish chhalka di
munjamid ho gaya aazar ka koi KHwab-e-hasin
kyon meri jurat-e-rindana mujhe lauTa di
ham-safar tu ne idhar kash na dekha hota
chand ka KHwab nigahon mein utar aaya hai
dam-ba-KHud ho ke kabhi honT dabane ke nisar
ji mein kuchh soch ke muskan chhupane ke nisar
tujh se kuchh rabt nahin rabt ka arman nahin
rah mein phir kahin mil jaane ka imkan nahin
dil ki chahat hai yahi sath chalun chalta hun
ye safar KHatm na ho rahguzar KHatm na ho
mere ashaar mein Dhal ja ki KHizan chhu na sake
ta-abad husn tera yunhi tar-o-taza rahe
aaj phir dil ka koi zaKHm ubhar aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.