ye sar-zamin-e-watan
ye sar-zamīn-e-vatan ye dayār-e-ahal-e-nazar
ye sar-zamīn-e-vatan jalva-gāh-e-zāt-o-sifāt
ye sar-zamīn-e-vatan ābrū-e-ālam-e-ḳhāk
ye sar-zamīn-e-vatan gulshan-e-bahār-e-hayāt
ye sar-zamīn-e-vatan ye dayār-e-ahl-e-nazar
jabīñ pe jis kī rivāyāt kī hai tābānī
ragoñ meñ jis kī ravāñ hai lahū shahīdoñ kā
ki jis pe karte haiñ shams-o-qamar gul-afshānī
ye sar-zamīn-e-kitāb-e-hayāt jis ko kaheñ
kitāb hī nahīñ tārīḳh hai ma.īshat kī
ashok-o-akbar-o-chishtī-o-nānak-o-gāñdhī
har ik varaq hai na.ī dāstāñ mohabbat kī
zabāñ pe baare ḳhudāyā ye kis kā naam aayā
ki bose nutq ne baḌh kar mirī zabāñ ke liye
jadīd hind kī qismat banā.ī gāñdhī ne
naved-e-amn vo laayā thā kul-jahāñ ke liye
savāl nasl ke hoñ yā zabān-o-maz.hab ke
savāl san.at-o-hirfat ke yā ma.īshat ke
har ik savāl kā pur-amn hal talāsh kiyā
savāl ghar ke hoñ yā ālamī siyāsat ke
usī ke naqsh-e-qadam haiñ ki jin pe chal kar ham
na.ī bahār kī manzil talāsh karte haiñ
usī kā faiz-e-nazar hai ki jis ke bal par ham
sukūn-e-zīst kā sāhil talāsh karte haiñ
ye sar-zamīn abhī aur bhī hasīñ hogī
sajā rahe haiñ use zindagī ke dīvāne
ye sar-zamīn-e-vatan ye dayār-e-ahl-e-nazar
likheñge ahl-e-junūñ is ke kitne afsāne
ye sar-zamin-e-watan ye dayar-e-ahal-e-nazar
ye sar-zamin-e-watan jalwa-gah-e-zat-o-sifat
ye sar-zamin-e-watan aabru-e-alam-e-KHak
ye sar-zamin-e-watan gulshan-e-bahaar-e-hayat
ye sar-zamin-e-watan ye dayar-e-ahl-e-nazar
jabin pe jis ki riwayat ki hai tabani
ragon mein jis ki rawan hai lahu shahidon ka
ki jis pe karte hain shams-o-qamar gul-afshani
ye sar-zamin-e-kitab-e-hayat jis ko kahen
kitab hi nahin tariKH hai maishat ki
ashok-o-akbar-o-chishti-o-nanak-o-gandhi
har ek waraq hai nai dastan mohabbat ki
zaban pe bare KHudaya ye kis ka nam aaya
ki bose nutq ne baDh kar meri zaban ke liye
jadid hind ki qismat banai gandhi ne
nawed-e-amn wo laya tha kul-jahan ke liye
sawal nasl ke hon ya zaban-o-mazhab ke
sawal sanat-o-hirfat ke ya maishat ke
har ek sawal ka pur-amn hal talash kiya
sawal ghar ke hon ya aalami siyasat ke
usi ke naqsh-e-qadam hain ki jin pe chal kar hum
nai bahaar ki manzil talash karte hain
usi ka faiz-e-nazar hai ki jis ke bal par hum
sukun-e-zist ka sahil talash karte hain
ye sar-zamin abhi aur bhi hasin hogi
saja rahe hain use zindagi ke diwane
ye sar-zamin-e-watan ye dayar-e-ahl-e-nazar
likhenge ahl-e-junun is ke kitne afsane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.