ye shahr-e-dilli hai
bahut na Thokareñ khaao ye shahr-e-dillī hai
qadam sañbhal ke uThāo ye shahr-e-dillī hai
yahāñ kī ḳhaak ibārat hai 'mīr'-o-'ġhālib' se
yahāñ na ḳhaak uḌaao ye shahr-e-dillī hai
ye bādshāhoñ kā maskan nagar hai valiyoñ kā
yahāñ to hosh meñ aao ye shahr-e-dillī hai
kahīñ javāb nahīñ jis kā nāznīñ hai ye vo
tum is ke naaz uThāo ye shahr-e-dillī hai
na hogā is ke dar-o-bām par zarā bhī asar
hazār shor machāo ye shahr-e-dillī hai
ġharaz baġhair yahāñ dostī kī rasm nahīñ
samajh ke dost banāo ye shahr-e-dillī hai
bahut hai koī shanāsā jo raah meñ mil jaa.e
kisī ke ghar bhī na jaao ye shahr-e-dillī hai
kise ḳhabar hai ki kab kis se pher le nazreñ
yahāñ na pyaar baḌhāo ye shahr-e-dillī hai
har ik chamaktī huī shai guhar nahīñ hotī
fareb aur na khaao ye shahr-e-dillī hai
kahāñ chalī ho kise de rahī ho yuuñ āvāz
ġharīb dil kī sadāo ye shahr-e-dillī hai
hayāt itnī pareshān kyoñ huī 'iqbāl'
savāl hī na uThāo ye shahr-e-dillī hai
bahut na Thokaren khao ye shahr-e-dilli hai
qadam sanbhal ke uThao ye shahr-e-dilli hai
yahan ki KHak ibarat hai 'mir'-o-'ghaalib' se
yahan na KHak uDao ye shahr-e-dilli hai
ye baadshahon ka maskan nagar hai waliyon ka
yahan to hosh mein aao ye shahr-e-dilli hai
kahin jawab nahin jis ka naznin hai ye wo
tum is ke naz uThao ye shahr-e-dilli hai
na hoga is ke dar-o-baam par zara bhi asar
hazar shor machao ye shahr-e-dilli hai
gharaz baghair yahan dosti ki rasm nahin
samajh ke dost banao ye shahr-e-dilli hai
bahut hai koi shanasa jo rah mein mil jae
kisi ke ghar bhi na jao ye shahr-e-dilli hai
kise KHabar hai ki kab kis se pher le nazren
yahan na pyar baDhao ye shahr-e-dilli hai
har ek chamakti hui shai guhar nahin hoti
fareb aur na khao ye shahr-e-dilli hai
kahan chali ho kise de rahi ho yun aawaz
gharib dil ki sadao ye shahr-e-dilli hai
hayat itni pareshan kyon hui 'iqbaal'
sawal hi na uThao ye shahr-e-dilli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.