ye shahr-e-na-rasai hai
ye shahr-e-nā-rasā.ī hai
yahāñ dastūr-e-goyā.ī nahīñ hai
yahāñ lab kholnā bhī jurm hai
yahāñ par jab kabhī aao
ḳhamoshī kā irāda bāñdh kar aao
yahāñ gūñge gharoñ kī
saarī dīvāroñ meñ
āvāzoñ ke jañgal jāgte haiñ
yahāñ āñkheñ nahīñ hotīñ
yahāñ dil bhī nahīñ hote
yahāñ bas ek hī chehra hai
baaqī saare chehre us kī naqleñ haiñ
sabhī chehroñ ke naqshe ek jaise haiñ
vahī raste vahī galiyāñ
vahī sadiyoñ kā chakkar ek jaisā hai
azal se dā.ere kā ik safar
aur phir fanā kā muḳhtasar lamha
yahī merī kahānī hai
yahī sab kī kahānī hai
ye shahr-e-nā-rasā.ī hai
ye shahr-e-na-rasai hai
yahan dastur-e-goyai nahin hai
yahan lab kholna bhi jurm hai
yahan par jab kabhi aao
KHamoshi ka irada bandh kar aao
yahan gunge gharon ki
sari diwaron mein
aawazon ke jangal jagte hain
yahan aankhen nahin hotin
yahan dil bhi nahin hote
yahan bas ek hi chehra hai
baqi sare chehre us ki naqlen hain
sabhi chehron ke naqshe ek jaise hain
wahi raste wahi galiyan
wahi sadiyon ka chakkar ek jaisa hai
azal se daere ka ek safar
aur phir fana ka muKHtasar lamha
yahi meri kahani hai
yahi sab ki kahani hai
ye shahr-e-na-rasai hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 79)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.